Sunday, April 18, 2010

Muntazir

1. Raat khaamosh hai, chaand madhosh hai
    Thaam lena mujhe, jaa raha hosh hai

    Milan ki dastaan, dhadkanon ki zubaan
    Gaa rahi hai zameen, sun raha asmaan

    Gungunati hawa, de rahi hai sada
    Sard iss rat ki, garm aaghosh hai

    Mehekti yeh fiza, jaisi teri ada
    Chhaa raha ruuh par, jane kaisa nasha

    Jhhumta hai jahaan, ajab hai ye samaan
    Dil ke gulzar mein, ishq purjosh hai

    Raat khaamosh hai, chaand madhosh hai
    Thaam lena mujhe, jaa raha hosh hai


2. Gum Sum Yeh Jahan Hai, Humdum Tu Kaha Hai,
    Gamzada Ho Gayi, Zindagi Aa Bhi Jaa.....

    Raat Baithi Hai Bahein Pasare, Siskiya Le Rahe Hai Sitare
    Koi Tuta Hua Dil Pukare, Humdum Tu Kaha Hai,
    Gamzada Ho Gayi, Zindagi Aa Bhi Jaa
    Gum Sum Yeh Jahan Hai, Humdum Tu Kaha Hai,
    Gamzada Ho Gayi, Zindagi Aa Bhi Jaa...
 
    Aaj Aane Ka Vada Bhula Kar, Na-umeedi Ki Aandhi Chala Kar
    Aashiyana Wafa Ka Jala Kar, Humdum Tu Kaha Hai
    Gamzada Ho Gayi, Zindagi Aa Bhi Jaa
    Gum Sum Yeh Jahan Hai, Humdum Tu Kaha Hai,
    Gamzada Ho Gayi, Zindagi Aa Bhi Jaa...aa Bhi Jaaa, Aa Bhi Jaa 


3. Yun To Guzar Raha Hai, Har Ik Pal Khushi Ke Saath,
    Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke Saath,
 
    Rishta Vafaye Dosti, Sab Kuch To Pass Hai,
    Kya Baat Hai Pata Nahi, Dil Kyu Udas Hai,
    Har Lamha Hai Haseen, Nayi Dilkashi Ke Saath,
 
    Chahat Bhi Hai Sukun Bhi Hai Dilbari Bhi Hai,
    Aakho Mein Khawab Bhi Hai, Labo Par Hasi Bhi Hai,
    Dil Ko Nahi Hai Koi, Shikayat Kisi Ke Saath,
 
    Socha Tha Jaisa Vaisa Hi Jeevan To Hai Magar,
    Ab Aur Kis Talash Mein Baichain Hai Nazar,
    Kudrat To Mehrban Hai, Darayadili Ke Saath 


4. Teri Aankhon se Hi Jaage Soyein Ham
    Kab Tak Aakhir Tere Gham Ko Royein Ham

    Waqt Kaa Marham Zakhmon Ko Bhar Detaa Hai
    Shishe Ko Bhi Ye Patthar Kar Detaa Hai
    Raat Mein Tujh Ko Paayein, Din Mein Khoyein Ham
    Teri Aankhon Se Hi Jaage Soyein Ham

    Har Aahat Par Lagtaa Hai, Tu Aayaa Hai
    Dhoop Hai Mere Pichhe, Aage Saayaa Hai
    Khud Apni Hi Laash Ko Kab Tak Dhoyein Ham
    Teri Aankhon Se Hi Jaage Soyein Ham


5. Rukh se parda uthade zara saqiya
    Bas abhi rang -e-mehfil badal jayega
    Hai jo behosh woh hosh mein ayega
    Girne wala hai jo wo sambhal jayega

    Tum tasalli na do, sirf bhaite raho
    Waqt kuchh mere marne ka tal jayega
    Kya ye kam hai, maseeha ke rehne hi se
    Maut ka irada bhi badal jayega

    Teer kee jaan hai dil, dil kee jaan teer hai
    Teer ko na yuun kheecho, kahaan maan lo
    Teer kheencha to dil bhi nikal aayega
    Dil jo nikla to dum bhi nikal jaayega

    Iske hasne mein rone ka andaz hai
    Khaq udaane mein fariyaad ka raag hai
    Isko chedo na anwar khuda ki liye
    Warna bimar ka dam nikal jayega


6. Bahot khoobsurat hai aankhen tumhaari
    Agar ho inaayat, eh jaan-e-mohabbat
    Bana dijiye inko kismat hamaari
    Bahot khoobsurat hai aankhen tumhaari

    Jo sab se juda hai woh andaaz ho tum
    Chhupa tha jo dil mein wohi raaz ho tum
    Tumhaari nazaakat bani jab se chaahat
    Sukun ban gayi hai har ek beqaraari
    Bahot khoobsurat hai aankhen tumhaari

    Na the jab talak tum hamaari nazar mein
    Na tha chaand shab mein, na suraj saher mein 
    Tumhaari ijaazat tumhaari hukumat
    Ye saara gagan hai ye dharti hai saari
    Bahot khoobsurat hai aankhen tumhaari 
 
 
7. Benaam sa yeh dard, thahar kyon nahi jaata
    Jo beet gaya hai vo, guzar kyon nahi jaata

    Sab kuch to hai kya dhoondti rahti hain nigaahein
    Kya baat hai main waqt pe ghar kyoon nahi jaata

    Vo ek hi chahra to nahi saare jahan main
    Jo door hai vo dil se utar kyon nahi jata

    Main apni hi uljhi hui raahon ka tamasha
    Jaate hai jidhar sab main udhar kyoon nahi jata

    Vo naam jo barson se na chehra hai na badan hai
    Vo khwab agar hai to bikhar kyoon nahi jata

 
8. Ye kiska tassavvur hai, ye kiska fasaana hai
    Jo ashk hain aankhon mein takbeeh ka daana hai

    Aankhon mein nameen si hai chup-chup se wo baithe hain
    Nazook si nighahon mein naazook sa fasaana hai

    Ye ishk naheen aasaan itna to samajh leeje
    Ik aag ka dariyaa hai aur doob ke jaana hai

    Ya wo the khafa humse, ya hum hain khafa unse
    Kal unka zamaanaa tha, aj apna zamaana hai

No comments: