Sunday, February 7, 2010

Unique

Unique                                 HOME
Lyrics :  Shahir Bhopali           (1)
             Kaif Bhopali             (2,4)
             Pandit Vinod Sharma (3)
             Bashir Badr               (5)
             Krishan Bihar Noor   (6)
             Sabab Sikri              (7,8)
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh

1.   muJhe gusaa dikhaaya jaa raha hai
     tabassum ko dabaaya jaa raha hai

     wahaN tak aabroo jaBt-e-gham hai
     jahaN tak mushkuraaya jaa raha hai

     do aalam maiNe chODe jiske khaatir
     wahi daaman chuDaaya jaa raha hai

     kareeb aane meiN hai ujko takalluF
     wahiN se mushkuraaya jaa raha hai


2.   kaun aayega yahan koi na aaya hoga
     mera darwaaza hawaaoN ne hilaaya hoga

     dil-e-naadaaN na dhaDak ae dil-e-naadaaN na dhaDak
     koi khat leke paDosi ke ghar aaya hoga

     gul se lipTi huyee titli ko girakar dekho
     aandhiyoN tumne daraftoN ko giraaya hoga

     'kaif' pardesh meiN math yaad karo apna makaaN
     abke baarish ne use toD giraaya hoga


3.   buJh gayee tapti huyee dil ki agaN
     saanJh ne chup-chaap hi pee lee agaN
     raat rijH aayee pehan ujla wasan
     pRaan tum kyooN mauN ho kuch gun-gunaaO
     chaandni ke phool tum mushkuraaO

     ek nili jHeel sa faila achal
     aaj ye aakaash hai itna saJal
     chaaNd jaise roop ka uBhraa kamal
     raat bhar is roop ka jaadoo jagaaO
     pRaan tum kyooN mauN ho kuch gun-gunaaO

     chal raha hai chait ka chanchal pawan
     ...............bikhri huyee undal sakhan
     aaj ho kaJraa udaasi hai nayan
     maaNg bhar lo baal par bindiyaa sajaaO
     pRaan tum kyooN mauN ho kuch gun-gunaaO


4.   tera chehra kita suhaana lagta hai
     tere aage chaand puraana lagta hai

     tirche-tirche teer nazar ke lagte haiN
     seedha-seedha dil pe nishaana lagta hai
  
     aag ka kya pal-do-pal meiN lagti hai
     buJhte buJhte ek zamaana lagta hai

     sach to ye hai phool ka dil bhee chalni hai
     haNste haNste ek bahaana lagta hai


5.   maan mausam ka kaha chaayee ghaTa jaam uTha
     aag se aag buJha phool khila jaam uTha

     ae mere yaar tuJhe uski kasam deta hooN
     bhool jaa shikwe gile haath mila jaam uTha

     ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyoN jaisa
     der kay karna yahaN haath baDha jaam uTha

     pyaar hi pyaar hai sab log baraabar haiN yahaN
     maikade meiN koi choTa na baDa jaam uTha


6.   bas ek waQt ka khanJar meri talaash meiN hai
     jo roJ bhesh badal ka meri talaash meiN hai

     maiN ek katra hooN mera alag waJood to hai
     hua kare jo samandar meri talaash meiN hai

     maiN dewtaa ki tarah qaid apne mandir meiN
     wo mere jisM ke baahar meri talaash meiN hai

     maiN jiske haath meiN ek phool deke aaya tha
     usi ke haath ka patthar meri talaash meiN hai


7.   mere kareeb na aaO ke maiN sharaabi hooN
     mera ..... jagaaO ke maiN sharaabi hooN
  
     zamaaNe bhar ke nigaahoN se gir chuka hooN maiN
     nazar se tum na giraaO ke maiN sharaabi hooN

     ye aRz karta hooN gir kar khulush waaloN se
     uTha sakO to uthaaO ke maiN sharaabi hooN

     tumhari aaNkh se bhar looN suroor aaNkhoN meiN
     nazar nazar se milaaO ke maiN sharaab hooN


8.   aap se gila aap kee kasam
     sochte rahe kar sake na hum

     uski kyaa khata la dawa hai gham
     kyooN gila kareN chaaragar se hum

     ye nawazisheN aur ye karam
     fart-e-shauK se mar na jaaye hum

     khechte rahe umR bhar muJhe
     ik tarah khuda ik taraf sanam

     ye agar nahiN yaar ki gali
     chalte chalte kyoon ruk gaye kadam
 

No comments: