Love is Blind
Lyrics : 
Music  : Jagjit Singh 
Voices : Jagjit Singh
1.   chak jigar ke see lete haiN
     jaise bhi ho jee lete haiN 
     dard mile to seh lete haiN 
     ashk mile to pee lete haiN
     aap kaheN to mar jaayeN hum  
     aap kaheN to jee lete haiN 
     bejari ke andhi-yaare meiN  
     jeene wale jee lete haiN
     hum to haiN un fuloN jaise  
     jo kaanTo meiN jee lete haiN 
2.   kabhi khamosh baithogi, kabhi kuchh gungunaaogi 
     maiN utna yaad aaoonga, mujhe jitna bhulaaogi
     koi jab poochh baithega, khamoshi kaa sabab tumse
     bahot samajahna chaahogi, magar samjhaa na paogee
     kabhi duniya mukkammal banake, aayengi nigaahOn meiN
     kabhi meri kami duniya ki, har ek shey meiN paaOgi
     kahiN par bhee raheN hum tum mohabbat fir mohabbat hai 
     tumhe hum yaad aayenge, hameN tum yaad aaogee
3.   wo kaun hai, duniya meiN jise, gam nahiN hota
     kis ghar meiN khushi hoti hai, maatam nahiN hota
     aise bhi haiN, duniya meiN jinheiN, gam nahiN hota
     ek hum haiN hamaara, kabhi kam nahiN hota
     kya surmaa bhari, aankhoN se, aansoo nahiN girte
     kya mehandi lage, hathoN se, matam nahiN hota
     kuch aur bhee, hotiN haiN, bigadane ki adaayeN
     par meri samaj ye, ek aalam nahiN hota
4.   aaj ham bichhade haiNto, kitne rangeele ho gaye
     meri aankheN sukhi, tere haath peele ho gaye
     kab ki patthar ho chuki thee muntazir aankhe magar
     chhooke dekha to mere hath geele ho gaye 
     jane kya ehsas saaz-e-husn taroN meiN haiN
     jinko chhoote hi mere nagmeN raseele ho gaye
     ab koi ummeed hai sahid, na koi aarzoo 
     aasre TooTe to jeene ke waseele ho gaye
5.   tum ye kaise juda ho gaye
     har taraf har jagah ho gaye
     apana chehra na badlaa gaya 
     aayine se khafa ho gaye
     jaane waale gaye bhi kahaaN 
     chand suraj ghaTa ho gaye 
     bewafa to na wo the na hum 
     yuuN hua bas juda ho gaye 
     aadmi banana aasaaN na tha 
     sheikhjee aarasa ho gaye 
6.   samajhte the, magar fir bhi, na rakhi dooriyaN humne
     charakhoN ko jalaane meiN, jalalee oongliyaaN humne
     koi titalee, hamare paas, aati bhi to kya aati
     sajae ang bhar kagaj ke phool-pattiyaaN humne
     yooN hi ghut ghut, ke mar jana, humeN manjoor thaa lekin
     kisi kambal par, zaahir na ki, majbooriyaaN humne
     hum us mehfil meiN bas ek bar sach bolane vali
     jubaaN par umR bhar mehsoos kee chingariyaaN humne
7.   aaj fir unka saamna hoga
     kya pata uske baad kya hoga
     aasmaaN ro raha hai do din se
     aapne kuchh kaha suna hoga 
     do kadam par sahee tera gooncha 
     ye bhi sadiyoN ka fasala hoga
     ghar jaltaa hai roshni ke liye
     koi mujhsaa bhi dil-jala hoga
8.   ek jaam main giren hain, kuchh log lad-khadake
     peene gaye the chalke, laye gaye uthake 
     sahbaaN ki aabaroo par, pani na fare 'saqi'
     maiN khud bhee pi raha hooN, aansoo mila mila ke
     wo mere lagajeesho par, tana kide kar rahe hai
     jo maikade meiN khud bhi, chalate haiN lad-khadake
     ek deen tu aa ke, meri mannat ki laaj rakha le
     kab se ujadata hun, mehfil saja saja ke
     iman 'najeer' apna', de aye hain butTon ko 
     dil ke bade dhani hai, baithe haiN dhan luta ke
 
No comments:
Post a Comment