Wednesday, February 3, 2010

Main Aur Meri Tanhai

Main Aur Meri Tanhai

Lyrics : Ali sardar zafri

Music : Jagjit Singh

Voices : Jagjit Singh, Chitra Singh

1. hum bhi sharaabi, tum bhi sharaabi
chalke gulaabi, chalke gulaabi
taqdeer dil ki khaana kharaabi

jab tak hai jeena khush ho ke jee leiN
jab tak hai peena jee bhar ke pee leiN
hasrat na koi reh jaaye baaki

kal suboh ke daaman meiN, tum hoge na hum honge
bas reth ke seene par kuch laksh kadam honge

bas raat bhar ke mehmaan hum haiN
zulfoN meiN shab ke thoDe se kam haiN
baaki rahega saagar na saaqi


2. mere darwaze se ab chand ko ruksat kar do
saath aaya hai tumhaare jo tumhaare ghar se
apne maathe se hata do ye chamakta hua taaj
fenk do jism se kirnoN ka sunahri zewar
tumhi tanha mera gham khaane mein aa sakti ho
ek muddat se tumhare hi liye rakha hai
mere jalte huye seene ka dahakta hua chaand


3. awaara hai galiyon meiN main aur meri tanhaayee
jaayeN to kahan jaayeN har mod pe ruswayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

ye phool se chehre haiN haNste huye guldaste
koi bhee nahin apna begaane hain sab raste
raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

armaan sulagte haiN seene meiN chitha jaise
qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise
roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

har rang meiN ye duniya sau rang dikhaati hai
rokar kabhi hansti hai hanskar kabhi gaati hai
ye pyaar ki baaheN haiN ya maut ki angDaayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee


4. aawaara hai galiyon meiN main aur meri tanhayee
jaayeN to kahan jaayeN har moD pe ruswaayee
maiN aur meri tanhaayee maiN aur meri tanhaayee

ye phool se chehre haiN haNste huye guldaste
koi bhee nahin apna begaane hain sab raste
raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

armaan sulagte haiN seene meiN chitha jaise
qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise
roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

aakaash ke maathe par taaroN ka charagam hai
pehloo meiN magar mere zakhmoN ka gulistaan hai
aankhOn se lahoo tapka daaman meiN bahaar aayee
main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee


5. tamannaon ke bahlave meiN aksar aa hi jaate haiN
kabhi hum chot khaate haIn kabhi hum muskuraate haiN

ham aksar dostoN ki bewafee seh to lete haiN
magar hum jaante haiN dil hamaare TooT jaate haiN

kisi ke saath jab beete huye lamhoN ki yaad aayee
thaki aakhoN meiN askhoN ke sitaare jhilmilaate haiN

ye kaisa istheyaaki deed aur kaisi majboori
kisi ki bazm tak hum kyoon jaa jaa ke laut aate haiN


6. baad muddat unheN dekh kar yooN laga
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya
aarzoo ke gul muskuraane lage
jaise gulshan meiN bahaar aa gaya

tishna nazreN mili shokh nazroN se jab
maiN barasne lagi jaam bharne lage
saaqiyaa aaj teri zaroorat nahiN
bin piyee bin pilaaye khumaar aa gaya

raat sone lagi subah hone lagi
shamma buJhne lagi dil machalne lage
waqt ki roshni meiN nahaayee huyi
zindagi pe ajab sa nikhaar aa gaya

No comments: