Thursday, February 4, 2010

Visions

Visions
Lyrics : Kaif bhupali       (1)
             Tasneem faaruqi    (2)
             Rakesh             (3)
             Aarzoo Lakhnawi    (4)
             Nida Fazli         (5)
             Rustam sehgal wafa (6,10)
             Bekhud Dehlvi      (7, 8)
             Bashir Badr        (9,15)
             Aziz Qaisi         (11)
             Rana sahri         (12)
             Zahid              (13)
             Wazida Tabassum    (14)
             Khalid kuwaiti     (16)
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh

Volume I

1.  Jhoom ke jab rindO ne pilaa dee
     sheikh ne chupke chupke dua dee

     ek kamee thee taj mahal meiN
     humne teri tasveer laga dee

     aapne jhooTa waada karke
     aaj hamaRi umr baDha dee

     teri galee meiN sazde karke
     humne ibaadat-gaah bana dee


2.   nazar nazar se milakaR sharaab peete haiN
     hum unko paas biThakar sharaab peete haiN

     isi liye to andhera hai maikade meiN bahut
     yahan gharoN ko jalaakar sharaab peete haiN

     hume tumhare siwa kuch nazar nahiN aata
     tumhe nazar meiN sazakar sharaab peete haiN

     unHi ke his'se meiN aati hai pyaas hi aksar
     jo doosroN ko pilaakar sharaab peete haiN


3.   ye peene waale bahut hi ajeeb hote haiN
     jahaN se door ye khud ke kareeb hote haiN

     kisi ko pyaar mile aur kisi ko ruswaayee
     mohabbatoN ke safar bhi ajeeb hote haiN

     mila kisi ko hai kya sochiye ameeree se
     diloN ke shaah to aksar gareeb hote haiN

     yahaN ke logoN ki hai khaasiyat ye sabse baDi
     habeeb lagte hain lekiN raqeeb hote haiN


4.   kisne bheege huye baaloN se ye jHaTka paani
     jhooM ke aayi ghaTa TooT ke barsa paani

     koi matwaali ghaTa peeke jawaani ki umang
     jee baha le gaya barsaat ka pehla paani

     TikTiki baandhe wo firte haiN maiN is fiqR meiN hooN
     kahiN khaane lage chakkar na ye gehra paani

     baat karne mein wo un aankhoN se amrit tapka
     aarzoo dekhte hee mooh meiN bhar aaya paani


5.   kabhi kabhi yun bhi humne apne jee ko behlaaya hai
     jin baatoN ko khud nahiN samjhe auroN ko samjhaaya hai

     humse poochO izzatwaaloN kee izzat ka haal yahaN
     humne bhi is shehar meiN rehkar thoDa naam kamaya hai

     us'se bichchDe barsoN beete lekin aaj na jaane kyoon
     aangan meiN haste bachchoN ko bekaaroN dhamkaaya hai

     koi mila to haath milaaya kahiN gaye to baate kee
     ghar se baahar jab bhi nikle din bhar boJh uThaya hai


6.   tere nisaar saqiya jitni piyoo pilaaye jaa
     mast nazar ka waasta mast muJhe banaaye jaa

     tuJhko kisi se marz kya bijli kahiN giraaye jaa
     dil jale ya zigar jale tu yun hi mushkuraaye jaa

     saamne mere aa ke dekh rookh se naqaab haTa ke dekh
     khilman-e-dil hai muntazir barKe nazar giraaye jaa
  
     wafa-e-badnaseeb ko baksha hai tune dard jo
     hai koi iski bhi dawa itna zara bataaye jaa


7.   na keh saaqi bahaar aane ke din haiN
     zigar ke daaG chil jaane ke din haiN
 
     ada see khoo adaa aane ke din haiN
     abHi to door sharmaane ke din haiN

     garebaaN DhoonDte hain haath mere
     chaman meiN phool khil jaane ke din haiN

     tumhe raaz-e-mohabbat kya bataayeN
     tumhare khelne khaane ke din haiN

     ghaTaayeN oondti oondti keh rahi hai
     maye angoor khichwaane ke din haiN


8.   dard-e-dil meiN kamee na ho jaaye
     dosthi dushmani na ho jaaye

     tum meri dosthi ka dam na bharo
     aasmaaN muddayee na ho jaaye

     baiThata hoon hamesha rindoN meiN
     kahiN zaahid wali na ho jaaye

     apne khooye wafa se Darta hoon
     aashiqi bandagi na ho jaaye


Volume II

9.   kaun aaya raaste aa'ina khaana ho gaye
     raat roshan ho gayee din bhi suhaane ho gaye

     ye bhi mumkin hai ke us'ne muJhko pehchaana na ho
     ab us'e dekhe huye kitne jamaane ho gaye

     jaao un kamroN ke aa'ine uthakar phenK do
     wae agar ye keh raheN ho hum puraane ho gaye

     meri palkoN par ye aaNsoo pyaar ki tauheen hai
     unki aaNkhoN se gire moti ke daane ho gaye


10.  aap aaye janaab barsoN meiN
     humne pee hai sharaaB barsoN meiN

     phir se dil kee kali khilee apni
     phir se dekha sabaaB barsoN meiN

     tum kahaN the' kahaN rahe saahiB
     aaj hoga hisaaB barsoN meiN

     pehle naadaaN the' ab huye daaNa
     unko aaya adaaB barsoN meiN

     isi um'meed pe' maiN zinda hooN
     kya wo denge jawaaB barsoN meiN


11.  aapko dekhkar dekhta reh gaya
     kya kahooN aur kehne ko kya reh gaya

     unkee aaNkhoN meiN kaise chalakne laga
     mere hoNThoN pe jo maajra reh gaya

     aise bichDe sabhi raah ke moD par
     aakhri hum-safar raasta reh gaya

     soch kar aaO kuye tamanna hai ye
     jaaneman jo yahaN reh gaya reh gaya


12.  koi dosth hai na raqeeb hai
     tera sehar kitnaa ajeeb hai

     wo jo ishq thaa wo junoon thaa
     ye jo hiZr hai ye naseeb hai

     yahaN kiska chehra paDha karooN
     yahaN kaun itnaa kareeb hai

     maiN kise kahooN mere saath chal
     yahan sab ke sar pe saleeb hai


13.  fir se mausam baharoN ka aane ko hai
     fir se rangiN zamana badal jaayega
     abki bazme charaagoN saja lenge hum
     ye bhi armaan dil ka nikal jaayega

     aap karde jo muJhko nigaahe karam
     meri ulfat ka reh jaayega kuch bharam
     yuN fasana to mera rahega yahi
     sirF unwaan uska badal jaayega

     fiki fiki see kyoon shaam-e-maikhanaa hai
     lutf saaqi bhi kam khaali paimaana hai
     apnee nazroN se hee kuch pila de jiye
     rang mehfil ka khud hee badal jaayega

     mere miTne ka unkO zara gam nahiN
     julF bhi unki ae dosth war ham nahiN
     apne hone na hone se hotha hai kya
     kaam duniya ka yun hee to chal jaayega

     aapne dil jo 'zaahid' ka toDa to kya
     aapne uski duniya ko choDa to kya
     aap itne to aakHir pareshaaN na hoN
     wo sambhalte sambhalte sambhal jaayega


14.  kuchh na kuchh to zaroor hona hai
     saamna aaj unsay hona hai

     todo fainko rakho karo kuch bhi
     dil hamara hai kya khilona hai

     zindagi aur maut ka matlab
     tumko paana hai tumko khona hai

     itna darna bhi kya hai duniya say
     jo bhi hona hai woh to hona hai

     uth kay mehfil say mat chalay jaana
     tumsay roshan yeh kona kona hai


15.  sar jhUkaaoge to patthar dewta ho jaayega
     itna math chaaho use' wo bewafa ho jaayega

     hum bhi dariya haiN hameN apnaa hunar maaloom hai
     jis taraF bhi chal paDenge raasta ho jaayega

     maiN khuda ka naam lekar pee raha hoon dostoN
     zehar bhi isme agar hoga dawa ho jaayega

     ruTh jaana to mohabbat ki alamat hai magar
     kya khabar thee muJhse wo itna khafa ho jaayega


16.  har gosha gulistaN tha kal raat jahaN maiN tha
     ek jasn-e-baharaN tha kal raat jahaN maiN tha

     nagmeN the' hawaoN meiN jaadoo tha fizaaoN meiN
     har saaNs ghazalfaaN tha kal raat jahan maiN tha

     dariya-e-mohabbat meiN kasthi thee jawaani kee
     jazbaat ka toofaaN tha kal raat jahan maiN tha

     mahtaab tha baahoN meiN jalwe the nigaahoN meiN
     har sint charaagaN tha kal raat jahan maiN tha

No comments: