Sunday, February 7, 2010

Desires

Desires
Lyrics : Madanpal         (1,7)
             Sudarshan Fakir  (2)
             Saba Afghani     (3)
             Bekhud           (4)
             Gumnaam          (5,6)
             Jaleel           (8)
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh, Chitra Singh

1.    din aa gaye shbaab ke aaNchal sambhaaliye
      hone lagi hai shehar meiN halchal sambhaaliye

      chaliye sambhal sambhal ke kaThin rah-e-ishq hai
      naazuk baDi hai aapKi paayal sambhaaliye

      saj dhaj ke aap nikle sare raah khair ho
      Takra na jaaye aapka paagal sambhaaliye
  
      ghar se naa jaaO door kisi ajnabi ke saath
      barseNge jor-jor se baadal sambhaaliye


2.    ulfaT ka jab kisi ne liya naam ro paDe
      apni wafa ka soch ke anJaam ro paDe

      har shaam ye sawaal mohabbat se kya mila
      har shaam ye jawwab ke har shaam ro paDe

      raaH-e-wafa meiN humko khushi ki talaash thee
      do gaam hi chale the ke har gaam ro paDe

      roNa naseeb meiN hai to auroN se kya gila
      apne hi sar liya koi ilzaam ro paDe


3.    gulshan ki faqat phooloN se nahiN kaaTon se bhi zeenat hoti hai
      jeene ke liye is duniya meiN gham ki bhi zaroorat hoti hai

      ae waaiz-e-naadan karta hai tu ek qayamat ka charcha
      yahan roz nigaHen milti haiN yahan roz qayamat hoti hai

      wo pursish-e-gham ko ayae HaiN kuch keh na sakooN chup reh na sakooN
      khaamosh rahooN to mushkil hai keh dooN to shikaayat hoti hai

      karna hi padega jabt-e-alam peene hi padenge ye aansoo
      fariyad-o-fugaaN se ae naadaaN tauheen-e-mohabbat hoti hai

      jo aake ruke daamal pe saba wo ashq nahiN hai paani hai
      jo ashq na chalke aankhoN se us ashq ki keemat hoti hai


4.    shamme mazaar thee na koi sogwaar tha
      tum jis pe ro rahe the wo kiska mazaar thaa
  
      taDpoonga uMr bhar dil-e-marhoom ke liye
      kambaKht naamuraad laDakpan ka yaar thaa

      jaadoo hai ya tilisM tumhari jubaaN meiN
      tum jhooT keh rahe the muJhe aetbaar thaa

      kya kya hamari sajde kee ruswaaeeyaN huyeeN
      nakshe-kadam kisi ka sare rehguzaar thaa


5.    ye kaisi mohabbat kahan ke fasaane
      ye peene pilaane ke sab haiN bahaane

      wo daaman ho unka ke sun-saan sehra
      bas humko to aakhir haiN aansoo bahaane

      ye kisne muJhe masth nazroN se dekha
      lage khud-ba-khud hi kadam laD-khaDaane

      chalo tum bhi 'gumnaam' ab maikade meiN
      tumhe daFn karne haiN kai gham puraane


6.    kaanTon ki chubhan paayee phoolon ka maza bhi
      dil dard ke mausam meiN roya bhi hasa bhi
 
      aane ka sabab yaad na jaane ki khabar hai
      wo dil meiN raha aur use toD gaya bhi

      har ek se manzil ka pata pooch raha hai
      gumraah mere saath hua raahnuma bhi

      'gumnaam' kabhi apnO se jo gam huye haasil
      kuch yaad rahe unme to kuch bhool gaya bhi    


7.   jab tera naam pyaar se likhti haiN oongliyaN
     meri taraf zamaane ki uThthi haiN oongliyaN
  
     daaman sanam ka haath meiN aaya tha ek pal
     din raat uss ek pal se mehakthi haiN oongliyaN

     jab se door ho gaye ho uss din se hee sanam
     bas din tumhare aane ke ginti haiN oongliyaN

     patthar taraash kar naa bana taj ek naya
     fankaar ke zamaane meiN kaTthi haiN oongliyaN


8.   baat saaqi ki na Taali jaayegi
     karke tauba toD daali jaayegi

     dekh lena wo na khaali jaayegi
     aah jo dil se nikaali jaayegi

     gar yahi tarz-e-fugaN hai andali
     to bhi gulshan se nikaali jaayegi

     aate aate aayega unko khayaal
     jaate jaate bekhayali jaayegi 

     kyoon nahiN milti gale se tegh-e-naaz
     id kya ab ke bhi khaali jaayegi

No comments: