Thursday, February 11, 2010

The Unforgettables

The Unforgettables
Lyrics : kafeel Aazer         (1)
             Firak Gorakhpuri     (2,5)
             Ameer Meenai         (3)
             Taariq Badayani      (4)
             Jigar Moradabadi     (6)
             Sudarshan Fakir      (7,8)
             Saeed Rahi           (9)             
             Kunwar Mahendra Singh(10)
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh, Chitra Singh

1.   baat nikalegee to phir duur talak jaayegee
     log bewajaH udaasee kaa sabab poochhenge
     ye bhee poochhenge ke tum itnee pareshaaN kyooN ho
     oongliyaaN uTheNgee sookhe huye baaloN kee taraf
     ek nazar dekheNge guzre huye saaloN kee taraf
     chooDiyoN par bhee kaI taNz kiye jaayeNge
     kaaNpate haathoN pe bhee fikRe kase jaayeNge

     log zaalim haiN har ek baat kaa taanaa deNge
     baatoN baatoN meiN meraa zikR bhee le aayenge
     unakee baatoN kaa zaraa saa bhee asar mat lenaa
     waRnaa chehre ke taasur se samaJh jaayeNge
     chaahe kuchh bhI ho sawaalaat naa karnaa unse
     mere baare meiN koI baat na karnaa unse
     baat nikalegii to phir door talak jaayegee


2.   raat bhi neend bhi kahaani bhee
     haaye kya cheez hai jawaani bhee

     dil ke sholoN se paDti hai sehra
     zindagi aag bhee hai paani bhee

     khaRk kya kya muJhe nahiN kehti
     kuch sunooN maiN teri zubaani bhee

     paas rehna kisi ka raat ki raat
     mehmaani bhee mezbaani bhee


3.   sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista
     nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista

     jawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda
     hayaa yakalaKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista

     sab-e-furkat ka jaaga hoon paristhoN ab to sone do
     kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista

     hamaare aur tumhaare pyaar meiN bas farq hai itna
     idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa-aahista

     baDi bedardi se sar kaate 'ameer' aur maiN kahooN unse
     huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista


4.   ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye
     subaH hone ko hai maahOl sajaaye rakhiye

     jinke haathoN se hume zakm-e-neha pahunchi hai
     wo bhee kehte hain ke zakhmoN ko chupaaye rakhiye

     kaun jaane ke wo kis raah-guzar se guzre
     har guzar raah ko phooloN se sajaaye rakhiye

     daaman-e-yaar ki zeenat na bane har ansoo
     apni palkon ke liye kuch to bachaaye rakhiye


5.   bahut pehle se un qadmon ki aahaT jaan letey hai
     tuJhe ae zindagi hum door se pehchaan letey haiN

     tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raatoN meiN
     hum aise meiN teri yaadoN ki chaadar taaN lete haiN

     meri nazreN to aise qaafiroN ka jaan-o-imaaN hai
     nigaaheN milte hi jo jaam aur imaan lete haiN

     'firaq' aksar badal kar bhesh milta hai koi qaaTil
     kabhi hum jaan lete hiaN kabhi pehchaan lete haiN


6.   dard badhkar fughan na ho jaaye
     ye zameeN aasmaaN na ho jaaye

     dil meiN dooba hua jo nashtar hai
     mere dil ki zubaaN na ho jaaye

     dil ko le leejiye jo lena hai
     fir ye sauda garaN na ho jaaye

     aah kije magar latif tabhi
     lab tak aakar dhuaaN na ho jaaye


7.   gham badhe aate hai qaatil ki nigahon ki tarah
     tum chupa lo muJhe ae dosth gunaahoN ki tarah

     apni nazaroN meiN gunehgaar na hote kyooNkar
     dil hi dushman hai mukhaliF ke gawaahoN ki tarah

     har taraf zeest ki raahoN meiN kaDi dhoop hai dosth
     bas teri yaad ke saaye haiN panaahoN ki tarah

     jinke khaatir kabhi ilzaam uthaaye 'faakir'
     wo bhee pesh aaye haiN insaaF se shaahoN ki tarah


8.   kisi ranjish ko hawa do ke maiN zinda hooN abhi
     muJhko ehsaas dila do ke maiN zinda hooN abhi

     mere rukne se meri saaNse bhi ruk jaayengi
     faasile aur baDha do ke maiN zinda hooN abhi

     zehar peene ki to aadat thi zamaane waaloN
     ab koi aur dawa do ke maiN zinda hooN abhi

     chalti raahoN meiN yooNhi aaNkh lagi hai 'faakir'
     bheeD logoN ki hata do ke maiN zinda hooN abhi


9.   dost ban-banke mile muJhko mitaane waale
     maine dekhe haiN kaI rang badalane waale

     tumne chup rehkar sitam aur bhee Dhaayaa mujhpar
     tumse achchhe haiN mere haal pe haNsne waale

     maiN to ikhalAq ke hathoN hi bikA kartaa hooN
     aur hoNge tere baazAr meiN bikne waale

     akhree daur pe salaam-e-dil-e-mustar le lo
     phir naa lauTenge shab-e-hiJr pe ronewaale


10.  aaye haiN samjhaane log
     haiN kitne deewane log

     dair-o-haram meiN chain jo miltha
     kyoN jaathe maikhaane log

     jaan ke sab kuch, kuch bhi na jaane
     haiN kitne anjaane log

     waqt pe kaam nahiN aathe haiN
     ye jaane pehchaane log

     ab jab mujh ko hosh nahiN haiN
     aaye haiN samjhaane log

No comments: