Thursday, February 4, 2010

Hope

H O P E
Lyrics : Bashir Badr        (1)
             Nida Fazli         (2 and 7)
             Faragh Roohvi      (3)
             Ayaz Jhansvi       (4)
             Zafar Gorakhpuri   (5)
             Rustom Sehgal Wafa (6)
             Shahryar           (8)
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh, Chitra Singh

Introduction
Hope
What the whole world lives on.  An integral part of our insatiable existence.
Just as the  unforgettable  ghazals  of Jagjit and Chitra Singh have become.
JAGJIT AND CHITRA SING. ACCOLADES, TITLES, AWARDS  matter much less to this redoubtable duo. Today, their hope now, is to, each time, create an  ablubm  better than their previous one; to  transcend  the  heights  they have already conquered.

     'Someone Somewhere' their most  recent  album,  was
     dedicated to  memory of their  beloved son,  Vivek,
     the  biggest  HOPE  of their lives. 'HOPE' is being
     released  on Vivek's birth  anniversary  20 August;
     a testimony to  his  parents'  perennial  quest  of
     bringing  happiness into the lives of music lovers.

     Is the  GHAZAL  wave  really on an ebb?  With  this
     album,  Jagjit and  Chitra Singh, the  pioneers  of
     the Ghazal wave,  keep the  HOPE  in  Ghazal lovers
     alive.  As long  as they  continue to regale  their
     fans, Ghazals will endure. Human life is transient,
     but  Jagjit  and  Chitra's  Ghazals  have  achieved
     immortality.  Each  new  collection of Ghazals will
     be eagerly  awaited, with the same  enthusiasm, the
     same sentiment.

     H O P E


1.   khudaa humKo aisee khudaayee na de
     ke apNe siWa kuchch dikhaayee na de

     khataWaar samjhegee duniyaaN tujhe
     ke itnee ziyaada safaayee na de

     haNso aaj itnaa ke is shoR meiN
     sada siskiyoN ki sunaaYee na de

     abhi to badan meiN lahoo hai bahot
     kalam cheen le roshnaayee na de

     kHuda aise ehsaas ka naaM hai
     rahe saamNe aur dikhaYee na de


2.   ab khushi hai na koi Gam rulaaNe-waaLa
     humNe apna liya har ranG zamaane-waaLa

     usko ruKhsat to kiYa tha mujhe maloom na tha
     saara Ghar le gaya, ghar chod ke jaane-waaLa

     ik musaFiR ke safaR jaisi hai sabki duniyaN
     koi jalDi meiN koi de'r se jaane-waaLa

     ek be-chehRa see ummid hai chehra-chehra
     jis taraF dekhiYe aane ko hai aane-waaLa    


3.   dekHa jo aa'inah to muJhe sochna paDa
     khuD se na mil saka to muJhe sochna paDa

     uska jo kHat mila to muJhe sochna paDa
     apna sa wo laGa to muJhe sochna paDa

     muJhko tha gumaaN ke mujhi-meiN hai ek adda
     deKha teri aNa to muJhe sochna paDa

     duniYa samaJh rahee thee ke naraaz muJhse hai
     lekiN wo jab mila to muJhe sochna paDa

     ik din wo mere aiB giNaane laga 'Frag'
     jab khud hi thak gaya to muJhe sochna pada


4.   na sHiwaale, na qalisa, na haRam jhooTe haiN
     bas yaHi sach hai ke tum jhoote ho hum jhooTe haiN

     humne deKha hee nahi bolte unko ab taq
     kaun kehta hai ke paThar ke sanam jhooTe haiN

     unse miliye to khushi hoti hai unse milkar
     sehar ke doosre logoN se jo kam jhooTe haiN
    
     kucH to hai baat jo teHriroN meiN taasir nahiN
     jhooTe Fanqaar nahiN haiN to qalam jhooTe haiN


5.   dhooP hai kya aur saaYa kya hai ab maLoom hua
     ye sab khel tamasha kya hai ba maLoom hua

     hanSte phool ka chehRa dekhooN aur bhaR aayi aanKh
     apNe saath ye kissa kya hai ab maLoom hua

     hum barsoN ke baad bhi unKo ab taq bHool na paaye
     dil se unka rishtaa kya hai ab maLoom hua

     sehra sehra pyaase bhaTke saari umR jale
     baadal ka ik TukDa kya hai ab maLoom hua


6.   kya khabaR thee is taraH se wo juDa ho jaaYega
     khwaab meiN bhi uska milNa khwaab sa ho jaaYega

     zindaGi thee qaid hum'me kya nikaaLoge use
     maut jab aa jaaYegi to khud rihaa ho jaaYega

     dosTh bankar usKo chaaha Ye kabHi socha na tha
     dosThi hee dosThi meiN wo khuDaa ho jaaYega

     uska jalWa hoGa kya jiska ke parda noor hai
     jo bHI usko deKh lega wo fidaa ho jaaYega


7.  taNha taNha hum ro lenge mehFil mehFil gaaYenge
     jaB taq aansoo saath rahenge taB taq geet sunaaYenge

     tum jo soncho wo tum jaano hum to apni kehte haiN
     der na karna Ghar jaane meiN warna ghar kho jaaYenge

     bachchoN ke choTe haathon ko chaanD sitaareN chooNe do
     chaar kitaaBe paDh kar wo bHi hum jaise ho jaaYenge
  
     kin raahoN se door hai manzil kauN sa rasta aasaaN hai
     hum jab thal kar ruk jaaYenge, auroN ko samJhaayenge

     achchee soorat waale saare patthar dil hoN mumkin hai
     hum to uss din raaYeN deNge jis din dhoKha khaaYenge


8.   aise hiJr ke mausam tab tab aate haiN
     teRe alaawa Yaad hame sab aate haiN

     jaadu ki aaNkhoN se bhi dekho duniya ko
     khwaaboN ka kya hai wo har sab aate haiN

     ab ke saFar ki baaT nahin baaqi waRna
     hum ko bulaaYen dasth se jab wo aate haiN

     kaaGaz ki kasthi meiN dariya paar kiya
     dekho hum ko kya kya kartaB aate haiN

No comments: