Sunday, February 7, 2010

Your Choice

Your Choice
Lyrics : Qateel Shifai      (1,2)
             Seemab             (4,11,12,14,15)
             Saeed Rahi         (5)
             Rahi Masoom Reza   (6,13)
             Sudharshan Faakir  (7,10)
             Fani Bad ayani     (8)
             Sardar Anjum       (9)
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh, Chitra Singh

1.   kiya hai pyar jise humne zindagi ki tarah
     wo aashna bhi mila humse ajnabi ki tarah

     kise khabar thi baDhegi kuch aur tareeqi
     chupega wo kisi badli meiN chandni ki tarah

     baDha ke pyaas meri usne haath choD diya
     wo kar raha tha murawwat bhi dillagi ki tarah
  
     sitam to ye hai ke wo bhi na ban saka apna
     qabool humne kiye jiske gam khushi ki tarah

     kabhi na socha tha humne 'qateel' uske liye
     karega hum pe sitam wo bhi har kisi ki tarah


2.   wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
     main tuJhko bhool ke zinda rahooN khuda na kare

     rahega saath tera pyaar zindagi bankar
     ye aur baat meri zindagi wafa na kare

     suna hai usko mohabbat duayeN deti hai
     jo dil pe choT to khaaye magar gila na kare

     ye theek hai nahin marta koi judaee meiN
     khuda kisi ko kisi se magar juda na kare


3.   tujhko darya dili ki kasam saaqiya,
     mustakil daur par daur chalta raha
     raunak-e-maikada yooN hi baDhti rahe
     ek girta rahe ik sambhalta rahe

     sirf sabnam hi shaan-e-gulistaa nahin
     shola-o-gul ka bhi daur chalta rahe
     ashq bhi chasm-e-purnam se behte rahe
     aur dil se dhooaN bhi nikalta rahe

     tere kabze meiN hai ye mizaami jahaaN
     tu jo chaahe to sehra bane gulsitaaN
     har nazar par teri phool khilte rahe
     har ishaare pe mausam badalta rahe

     tere chehre pe ye zulf bikhri huyee
     neeNd ki godh meiN subah nikhri huyee
     aur is par sitam ye adaayeN teri
     dil hai aakhir kahan tak sambhalta rahe

     is meiN khoon-e-tamanna ki taaseer hai
     ye wafa-e-mohabbat ki tasveer hai
     aisi tasveer badle ye mumkeen nahin
     rang chaahe zamaana badalta rahe


4.   muJhse milne ke wo karta tha bahaane kitne
     ab guzaarega mere saath zamaane kitne

     maiN gira tha to bahot log ruke the leKin
     sochta hooN muJhe aaye the uThaane kitne

     jis tarah maine tuJhe apna bana rakha hai
     sochte honge yahi baat na jaane kitne

     tum naya zakhm lagaO tumhe isse kya hai
     bharne waale hai abhi zakhm puraane kitne


5.   uski baateN bahaar ki baateN
     waadiye na lazaar ki baateN

     gul-o-shabnam ka jiKr kar na abhi
     muJhko karni hai yaar ki baateN

     sheikh maikada hai qaaba nahiN
     yaaN to hogi khumaar ki baateN

     ishq ka kaarwaaN chala bhi nahiN
     aur abhi se gubaar ki baateN

     ye kafas aur tera khayaal-e-hasiN
     us pe harsooN bahaar ki baateN


6.   hum to haiN pardesh meiN desh meiN nikla hoga chaaNd
     apni raat ki chhat par kitna tanha hoga chaaNd ho..

     jin aankhoN meiN kaajal bankar tairi kaali raat
     un aankhoN meiN aaNsoo ka ik katra hoga chaaNd

     raat ne aisa pech lagaya TooTi haath se Dor
     aaNgan waale neem meiN jaakar aTka hoga chaaNd

     chaaNd bina har din yooN beeta jaise yug beethe
     mere bina kis haal meiN hoga kaisa hoga chaaNd
    

7.   zakhm jo aapki inaayat hai is nishaani ko naam kya de hum
     pyaar deewar ban ke reh gaya hai, is kahaani ko naam kya de hum

     aap ilzaam dhar gaye hum par, ek ehsaan kar gaye hum par
     aapki ye bhi meharbaani hai, meharbaani ko naam kya de hum

     aap ko yuN hi zindagi samjha, dhoop ko humne chaaNdni samJha
     bhool hi bhool jiski aadat hai, ik jawaani ko naam kya de hum

     raat sapna bahaar ka dekha, din hua to gubaar sa dekha
     bewafa waqt bezubaaN nikla, bezubaani ko naam kya de hum


8.   chale bhi aao wo hai kabR-e-faani dekhte jaaO
     tum apne marne waale ki nishaani dekhte jaaO

     abhi kya hai kisi ki hoo rulaayegi ye khaamoshi
     zubaan-e-haal ki zaado bayaani dekhte jaaO

     guroor-e-husN ka sadka koi jaata hai duniya se
     kisi ki khaak meiN milti jawaani dekhte jaaO

     sune jaate na the tumse mere din-raat ke shikwe
     kafan sar ka meri mezbaani dekhte jaaO


9.   humsafar hota koi to baanT lete dooriyaaN
     raah chalte log kya samJhe meri majbooriyaaN

     muskuraate khwaab chunti gun-gunaati ye nazar
     kis tarah samJhe meri kismat ki na-manzooriyaaN

     haadisoN ki bheeD hai chalta hua ye kaarwaaN
     zindagi ka naam hai laachaariyaaN majbooriyaaN
 
     fir kisi ne aaj cheDa zikr-e-manzil is tarah
     dil ke daaman se lipatne aa gayi haiN dooriyaaN


10.  aaj tum se bichhad raha hooN maiN
     aaj kehta hooN fir miloonga tumhe
     tum mera intezaar karti raho
     aaj ka aitbaar karti raho
 
     log kehte hain waqt chalta hain
     aur insaan bhi badalta hai
     kaash ruk jaaye waqt aaj ki raat
     aur badle na koi aaj ke baad

     waqt badle ye dil na badlega
     tum se rishta kabhi na tootega
     tum hi khooshboo ho meri saanso ki
     tum hi manzil ho mere sapno ki

     log boonte haiN pyaar ke sapne
     aur sapne bikhar bhi jaate haiN
     ek ehsaas hi to hai ye wafa
     aur ehsaas mar bhi jaate haiN


11.  nama gaya koi na koi naamabar gaya
     teri khabar na aai zamaana guzar gaya

     hansta hooN yooN ke hiJr ki raateN guzar gayiN
     rota hooN yooN ke lutf-e-duaayeN saher gaya

     ab muJko hai qaraar to sab ko qaraar hai
     dil kya dhahar gaya ke zamaana thahar gaya
    
     ya rab nahiN maiN waapise rudaad-e-zindagi
     itna hi yaad hai ke jiya aur mar gaya


12.  gham muJhe hasrat muJhe wehsat muJhe sauda muJhe
     ek dil dekar kuhda ne de diya kya kya muJhe

     ye namaz-e-ishq hai kaisa adab kiska adab
     apne paaye naaz par karne bhi do sazda muJhe

     dekhte hi dekte duniya se maiN uTh jaaoonga
     dekhti ki dekhti reh jaayegi duniya muJhe


13.  dil ke ujle kaagaz par hum kaisa geet likheN
     bolo tumko gair likheN ya apna meeth likheN

     neele ambar ki angnai meiN taaroN ke phool
     mere pyaase hotoN par hai angaaroN ke phool
     in phooloN ko aakhir apni haar ya jeet likheN

     koi puraana sapna de do aur kuch meethe bol
     lekar hum nikle haiN apni aakhon ke kash khol
     hum banjaare preet ke maare kya sangeet likheN

     shaam khaDi hai ek chameli ke pyaale meiN shabnam
     jamuna ji ke oongli pakDe khel raha hai madhuban
     aise meiN ganga jal se radha ki preet likehN


14.  na ho gar aashna nahin hota
     buth kisi ka khuda nahin hota

     tum bhi oos waqt yaad aate ho
     jab koi aasraa nahiN hota

     dil meiN kitna sukooN hota hai
     jab koi muddawa nahiN hota

     ho na jab tak shikar-e-naakami
     aadmi kaam ka nahiN hota

     zindagi thi shabaab tak 'seemab'
     ab koi saaneha nahiN hota


15.  Shab-e-gham ae mere allah basar bhi hogi
     raat hi raat rahegi ke saher bhi hogi

     maiN ye sunta hooN ke wo duniya ki khabar rakhte haiN
     jo ye sach hai to unhe meri khabar bhi hogi

     chaiN milne se hai unke na juda rehne se
     aakhir ae ishq kisi tarha basar bhi hogi

No comments: