Thursday, February 11, 2010

Rishton Mein Daraar Aayee

Rishton mein daraar aayee
Lyrics : Naqsh Lyallpuri      (1)
             Zahid                (2)
             wajida Tabassum      (3)
             Nida Fazli           (4)
             Bekhud Dehlvi        (5)
             Rana sahri           (6)
             Bashir Badr          (7)
             Kaif Bhopali         (8)
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh

1.   rishtoN mein darar aaye
     bete na rahe bete
     bhai na rahe bhai
     rishtoN mein darar aaye
                                       
     parkha hai lahu apna, bharata hai zamane ko
     tufano mein koi bhi, aaya na bachane ko
     sahil pe nazar aayee
     kitane hi tamasai
                                     
     DhoonDane se nahi milta, raahat ka jahan koi
     TooTe huwe damo ko, le jaye kahaN koi
     har moD pe hoti hai
     ehsaas ki rusvaai
                                     
     zakhmoN se khili kaliyaN, ashkoN se khili shabnam
     patthar ke daricHe se, aaya hai naya mausam
     raaton ki siyali se
     li subho ne angadai


2.   fir se mausam baharoN ka aane ko hai
     fir se rangiN zamana badal jaayega
     abki bazme charaagoN saja lenge hum
     ye bhi armaan dil ka nikal jaayega

     aap karde jo muJhko nigaahe karam
     meri ulfat ka reh jaayega kuch bharam
     yuN fasana to mera rahega yahi
     sirF unwaan uska badal jaayega

     fiki fiki see kyoon shaam-e-maikhanaa hai
     lutf saaqi bhi kam khaali paimaana hai
     apnee nazroN se hee kuch pila de jiye
     rang mehfil ka khud hee badal jaayega

     mere miTne ka unkO zara gam nahiN
     julF bhi unki ae dosth war ham nahiN
     apne hone na hone se hotha hai kya
     kaam duniya ka yun hee to chal jaayega

     aapne dil jo 'zaahid' ka toDa to kya
     aapne uski duniya ko choDa to kya
     aap itne to aakHir pareshaaN na hoN
     wo sambhalte sambhalte sambhal jaayega


3.   kuchh na kuchh to zaroor hona hai
     saamna aaj unsay hona hai

     todo fainko rakho karo kuch bhi
     dil hamara hai kya khilona hai

     zindagi aur maut ka matlab
     tumko paana hai tumko khona hai

     ttna darna bhi kya hai duniya say
     jo bhi hona hai woh to hona hai

     uth kay mehfil say mat chalay jaana
     tumsay roshan yeh kona kona hai


4.   kabhi kabhi yun bhi humne apne jee ko behlaaya hai
     jin baatoN ko khud nahiN samjhe auroN ko samjhaaya hai

     humse poochO izzatwaaloN kee izzat ka haal yahaN
     humne bhi is shehar meiN rehkar thoDa naam kamaya hai

     us'se bichchDe barsoN beete lekin aaj na jaane kyoon
     aangan meiN haste bachchoN ko bekaaroN dhamkaaya hai

     koi mila tho haath milaaya kahiN gaye to baate kee
     ghar se baahar jab bhi nikle din bhar boJh uThaya hai


5.   dard-e-dil meiN kamee na ho jaaye
     dosthi dushmani na ho jaaye

     tum meri dosthi ka dam na bharo
     aasmaaN muddayee na ho jaaye

     baiThata hoon hamesha rindoN meiN
     kahiN zaahid wali na ho jaaye

     apne khooye wafa se Darta hoon
     aashiqi bandagi na ho jaaye


6.   koi dosth hai na raqeeb hai
     tera sehar kitnaa ajeeb hai

     wo jo ishq thaa wo junoon thaa
     ye jo hiZr hai ye naseeb hai

     yahaN kiska chehra paDha karooN
     yahaN kaun itnaa kareeb hai

     maiN kise kahooN mere saath chal
     yahan sab ke sar pe saleeb hai


7.   sar jhUkaaoge to patthar dewta ho jaayega
     itna math chaaho use' wo bewafa ho jaayega

     hum bhi dariya haiN hameN apnaa hunar maaloom hai
     jis taraF bhi chal paDenge raasta ho jaayega

     maiN khuda ka naam lekar pee raha hoon dostoN
     zehar bhi isme agar hoga dawa ho jaayega

     ruTh jaana to mohabbat ki alamat hai magar
     kya khabar thee muJhse wo itna khafa ho jaayega


8.   kaun aayega yahan koi na aaya hoga
     mera darwaaza hawaaoN ne hilaaya hoga

     dil-e-naadaaN na dhaDak ae dil-e-naadaaN na dhaDak
     koi khat leke paDosi ke ghar aaya hoga

     gul se lipTi huyee titli ko girakar dekho
     aandhiyoN tumne daraftoN ko giraaya hoga

     'kaif' pardesh meiN math yaad karo apna makaaN
     abke baarish ne use toD giraaya hoga

No comments: