Thursday, February 11, 2010

Live in Concert at Wembley

Live in Concert at Wembley
Lyrics : Ibn-e-Insha          (1)
             Andleeb Shadani      (2)
             Chaman lal Chaman    (3)
             Khamosh Dehlavi      (4)
             Iftikar Iman Siddiqi (5)
             Traditional          (6)
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh, Chitra Singh

1.   andaaz apnay dekhtay haiN aainey meiN woh
     aur yeh bhi dekhte haiN koi dekhta na ho

     kal chaudhveeN ki raat thee shab bhar rahaa charcha tera
     kuch ne kaha yeh chaand hai kuch ne kaha chehra tera

     hum bhi waheeN maujood they hum se bhi sab poocha kiye
     hum haNs diye hum chup rahe manzoor tha parda tera

     is shehar mein kis se mileN hum say to chooti mehfileN
     har shakhs tera naam le har shakhs deewana tera

     kooche ko tere choDkar jogi hee ban jaayeN magar
     jungle teri parbat teri basti teri sehra tera

     bedard sonani ho to chal kehta hia kya achchi ghazal
     aashiq tera ruswa tera shaayar tera 'insha' tera


2.   der lagi aane mein tumko shukR hai fir bhi aaye to
     aas ne dil ka saath na choDaa waise hum ghabraaye to

     shafak dhanuk mehtaab ghaTaayeN taare naghmeN biJli phool
     us daaman meiN kya kya kuch hai wo daaman haath meiN aaye to

     jhooTh hai sab taarikh hamesha apne ko dohraati hai
     achcha mera khwaab-e-jawaani thoDa sa dohraaye to

     suni sunaayi baath nahin hai apne oopar beethi hai
     phool nikalte haiN sholoN se chaahat aag lagaaye to


3.   Saun da maheena yaaro (Punjabi)


4.   umR jalvoN meiN basar ho ye zaroori to nahin
     har sab-e-gham ki sehar ho ye zaroori to nahin

     chasm-e-saaqi se piyo yaa lab-e-saagar se piyo
     bekhooodi aaThoN pehar ho ye zaroori to nahin

     neeNd to darRd ke bishtar par bhee aa saqti hai
     unki aahosh meiN sar ho ye zaroori to nahin

     seikh karta to hai masjid meiN khuda ko saJde
     uske saJde meiN asar ho ye zaroori to nahin

     sab ki nazroN meiN ho saaqi ye zaroori to hai magar
     sab pe saaqi ki nazar ho ye zaroori to nahin
    

5.   isme koi shiqwa na shikaayat na gila hai
     ye bhee koi khat hai ke mohabbat se bhara hai

     kya yaad dilaayenge muJhe mere sitamgar
     har naksh-e-sitam khud mere sineN meiN likha hai

     muJhko meri aawaaz sunaayee nahiN deti
     kaisa ye mere jiSm meiN ik shor macha hai

     chehre meiN hai aayeena ke aayeena meiN chehra
     maloom nahiN kaun kise dekh raha hai


6.   babul mora naihar chuto ri jaaye

No comments: