Thursday, February 11, 2010

Silsilay

Silsilay
Lyrics : Javed Akhtar
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh


1.   maiN bhool jaaoon tumhe, ab yahi munaasib hai
     magar bhoolna bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN
     ke tum to fir bhi haqikat ho koi khwaab nahiN
     yahan to dil ka ye aalam hai kyaa kahoon 'kambakht'
     bhula saka na ye wo silsila jo thaa hi nahiN
     wo ik khyaal jo awaaz tak gaya hi nahin
     wo ek baat jo maiN keh nahiN saka tumse
     wo ek rawt jo hum meiN kabhi raha hi nahiN
     muJhe hai yaad wo sab jo kabhi huwa hi nahiN
     agar ye haal hai dil ka to koi samjhaaye
     tumhe bhulaana bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN
     ke tum to fir bhi hakikat ho koi khwaab nahiN


2.   mere dil ne kaha, ae diwaane bata
     jab se koi mila, tu hai khoya huwa,
     ye kahani hai kya, hai ye kyaa silsila, ae diwaane bata

     maine dil se kaha, ae diwaane bata
     dhaDkane meiN chupi, kaisi awaz hai
     kaisa ye geet hai kaisa ye saaz hai,
     kaisi ye baat hai, kaisa ye raaza hai, ae diwaane bata

     mere dil ne kaha , jab se koi mila
     chaand taare fizaaN, phool bhaNwaare hawa
     ye haNsi waadiyaaN, neela ye aasmaaN
     sab hai jaise naya, mere dil ne kaha
     maine dil se kaha, muJhko ye to bata,
     jo hai tuJhko mila, usme kyaa baat hai
     kya hai jaadoogari, kaun hai wo pari, ae diwaane bata

     na wo koi pari, na koi mehJabiN
     na wo duniya meiN sabse hai zyaada haseeN,
     bholibhaali si hai, seedhi saadhi si hai,
     lekin usme adaa ek niraali si hai
     uske bin mera jeena hi bekaar hai,
     maine dil se kaha, baat itni si hai,
     ki tuJhe pyuaar hai mere dil ne kaha muJhko ikraar hai,
     haaN muJhe pyaar hai.


3.   jaate jaate wo muJhe achchhi nishaani de gaya
     uMr bhar dohraoonga aisi kahaani de gaya

     uss se maiN kuch paa sakooN aisi kahan ummeed thi
     gham bhi shaayad wo baraaye meharbaani de gaya

     sab hawaaeN le gaya mere samander ki koi
     aur muJhko ek kashti baadbaani de gaya

     khaiR maiN pyaasa raha, par usne itna to kiya
     mere palkoN ki kataroN ko wo paani de gaya


4.   dard apnaata hai paraaye kaun
     kaun sunta hai aur sunaaye kaun

     kaun dohraaye puraani bateN
     gham abhi soya hai jagaaye kaun

     wo jo apne haiN, kya wo apne haiN
     aur dukh Jhele, aazmaaYeN kaun

     ab sukooN hai to bhoolne meiN hai
     lekin us shaksh ko bhulaaye kaun

     aaj fir dil hai kuch udaas-udaas
     dekhiye aaj yaad aaye kaun


5.   muJhko yakeeN hai sach kehti thi jo bhi ammi kehti thi
     jab mere bachpan ke dine the, chaand meiN pariyaan rehti thee

     ek ye din jab apnoN ne bhi humse jnaata toD liya
     ek wo din jab ped ki shaakheN boJh hamara sehti thee

     ek ye din jab saari saDkeN ruThi ruThi lagti haiN
     ek wo din jab aaO khele saari galiyaN kehti thee

     ek ye din jab jaagi raateN diwaaroN ko takti hain
     ek wo din jab shaamoN ko bhi palkeN boJhal rehti thee

     ek ye din jab laakhoN gham aur kaal pada hai aaNsoon ka
     ek wo din jab ek zara sa baat pe nadiyaaN behti thee


6.   sach ye hai bekaar meiN gham hota hai
     jo chaaha tha duniya meiN kam hota hai

     Dhalta suraj faila jangal rasta gum
     humse puchO kaisa aalam hota hai

     gairOn ko kab fursat hai dukh dene ki
     jab hota hai koi hamdum hota hai    

     zakhm to humne in aankhoN se dekheN haiN
     logoN se sunte haiN marham hota hai

     zehan ki shaakhoN par ashaar aa jaateN haiN
     jab  teri yaadOn ka mausam hota hai


7.   dard ke phool bhi bikhar jaate haiN
     zakhma kaise bhi ho bhar jaate haiN

     jab dareeche meiN bhi ab koi nahin aur hum bhi
     sar jhukaaye huye chupchaap guzar jaateN hain

     raasta roke khaDi hai yahi ulJhan kabse
     koi pooche to keheN kya ki kidhar jaate haiN
              
     naram awaaz, bhali baateN muhazzaB lehze
     pehli barish meiN hi ye rang utar jaate haiN


8.   dariya ka saahil ho, poore chaand ki raat ho
     aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho

     pariyoN ki mehfil ho, koi tumhari baat ho
     aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho

     ye naram mulaayam thanDi hawaayeN, jab ghar se tumhaare guzre
     tumhari khushboo churaayeN, mere ghar le aayen, kabhi yooN bhi to ho

     sooni har mehfil ho, koi na mere saath ho
     aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho

     ye baadal aise TooT ke barse, mere dil ki tarah milne ko,
     tumhara dil bhi tarse, tum niklo ghar se, kabhi yooN bhi to ho

     tanhaai ho dil do, boonde hoN barsaat ho aur tum aaO.

No comments: