Thursday, February 11, 2010

Forget Me Not

Forget Me Not
Lyrics : Kanwar Mohinder Singh Bedi (Sahar)
Music  : Ghanshyam Vaswani
Voices : Jagjit Singh


1.   tum hamaare nahiN tho kya gham hai
     hum tumhare tho haiN ye kya kam hai

     husN ki shokiyaaN zara dekho
     gaahe shola hai gaahe shabnam hai

     mushkuraa do zara khuda ke liye
     shamm-e-mehfil meiN roshni kam hai

     ban gaya hai ye zindag ab to
     tunJhse baDhkar hameN tera gham hai


2.   teri berukhi aur teri meharbaaNi
     yahi maut hai aur yahi zindgaaNi
     wahi ek fasaana wahi ek kahani
     jawaani jawaani jawaani jawaani
     laboN par tabassuM
     tho aankhoN mein hai paani
     yahi hai yahi dil jaloN ki nishaani
     bataaooN hai kya aaNsooN ki haqiqat
     jo smJho tho sab kuch
     na smJho tho paani

     berukhi  : moonh modna, laaparwaahi ( )
     tabassuM : mushkaan (smile)


3.   aankoN se yooN aaNsoo dhalke
     saagar se jaise mai chalke

     hum samJhe mafhoom-e-baharaaN
     koi aya bhesh badal ke

     kaash bata sakte parwaane
     kya khoya kya paaye Jal ke

     manzil tak wo kya pahuNchaaye
     jisne dekhi raah na chal ke

     mafhoom-e-baharaaN : bahar ka arth ()


4.   abhi wo kamsin ubHar raha hai
     abhi hai us par shabaab aadha
     abhi jigar meiN khalisH hai aadhi
     abhi hai muJhpar itaaB aadhaa

     mere sawaal-e-wasl par
     tum nazar jhuka kar khaDe huye ho
     tumhi bataaO ye baat kya hai
     swaal poora jawaab aadhaa

     laga ke laare pe le tho aaya hooN
     sheikh sahaaB ko maiqade tak
     agar ye do ghooNT pi le
     milege muJhko sabab aadha

     kabhi sitam hai kabhi karam hai
     kabhi tawaJJO kabhi tagaful
     ye saaf zaahir hai muJhse ab tak
     hua hooN maiN kaamyaab aadhaa

     kamsin : kam uMr (young,feminine)
     khalisH : yauwan, jawaan (young masaculine)
     itaaB : krodkh, gussa (anger)
     sawaal-e-wasl  : milan ka sawaal (question of meeting)
     sawaab: punya (good deed)
     sitam : zulm (atrocity)
     karam : meherbaani (gratefulness)
     tawaJJO : dhyaan (meditation)
     tagaful : laaparwaahi (careless)


5.   in ashkoN ko paani kehna
     bhool nahiN naadaani hia
     tan-man mein jo aag lagaaye
     ye tho aise paani hai

     kaise tum se iskq hua thaa
     kya kya hum par biti hai
     sunlo tho sachcha afsaana
     warna ek kahaani hai

     sheik-O-baRhaman zaahiD-O-waaeeZ
     piree mein ye kya jaane
     bhool bhi ho jaathi hai isme
     iska naam jawaani hai
    
     dukh-sukh sehna aur khush rehna
     iskq mein laazim hai ye 'sahar'
     dil waale ho math ghabraaO
     ye tho reet puraani hai

     sheik-O-baRhaman : mulla aur panDit (islmic and hindu priest)
     zaahiD-O-waaeeZ : tapaswi dharmik pracharak (religious preacher)


6.   phool bhare haiN daaman daaman
     lekin weeraN ghshan gulshan

     aKl ki baat karne waale
     kya samJhoge dil ki dhaDkan

     kaun kisi ke dukh ka saathi
     apne aaNsooN apna daaman

     tera daaman chodooN kaise
     meri duniya tera daman


7.   husn waaloN ka ehtaraam karo
     kuch tho duniya meiN nek kaam karo

     seikh aayeN hiaN Baawzoo hokar
     ab tho peene ka intezaam karo

     abhi barsenge har taraf jalwe
     tum nighaahoN ka ehtamaam karo

     log darne lage gunaahon se
     barish-e-rehmat-e-tamaam karo

     ehtaraam : izzat (respect)
     Baawzoo : wazoo karna ( )
     ehtamaam : prabandh (arrangement)
     barish-e-rehmat-e-tamaam : khuda ki kripa ki baarish (shower of lords blessings)


8.   utha suraahi ye sheesha-o-jaam le saaqi
     fir iske baad khuda ka bhii naam le saaqi

     fir uske baad hameN tishnagi rahe na rahe
     kuch aur der murawwat se kaam le saaqi

     fir iske baad jo hoga wo dekha jaayega
     abhi to peene pilaane se kaam le saaqi

     tere huzoor meiN hosh-o-kHirad se kya haasil
     nahin hain mai tho nigaahon se kaam le saaqi

     tishnagi : pyaas (thirst)
     murawwat : sneh, dosthi (dear, friendship)
     huzoor : darbaar (court)

No comments: