Sunday, February 7, 2010

Cry for Cry

Cry for Cry
Lyrics : Khaleel Dhalijvi
             Sudarshan Faakir
             Nandalal Pathak
             Abu Taalib
             Waseem Barelvi
             Kashmirilal Zakir
             Nawaz Deobandi
             Dr. Iqbal
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh, Siza Roy ( 3,  8 with school children)

1.   ab main ration ki kataRon mein naZar aata hooN
     apne khetoN se bichchaDne ki saza paata hooN

     itnee menhgaayee ke bazaar se kuch laata hooN
     apne bachchoN meiN us'se baanT ke sharmaata hooN

     apnee neendo ki lahoo pochne ki koshish meiN
     jaagte jaagte, thak jaata hooN so jaata hooN

     koi chaadar samaJh ke kheench na le fir se "Khaleel"
     maiN qafan oDh kar foot-paath pe so jaata hooN


2.   aaj ke daur mein ae dost ye manjhar kyoon hai.
     zakhM har sar pe har ik haath meiN paththaR kyoon hai

     jab haqeeqat hai ke har zaRRe meiN tu rehta hai
     fir zamiN par kahiN masjid kahin mandir kyoon hai

     apna anjaam to maaloom hai sabko phir bhi
     apnee nazroN mein har insaan sikandar kyoon hai

     zindagi jeene ke qaabil hi nahiN ab "Faakir"
     warna har aaNkh meiN ashkoN ka samandar kyoon hai


3.   maa sunao mujhe wo kahani
     jisMe raja na ho na ho raNi

     jo hamari tumhari katha ho
     jo sabhi ke hriday ki gatha ho
     gandh jisme ho apni dhara ki
     baat jisme na ho apsara ki
     ho na pariYan jahaN aasmaani

     wo kahani ko hasna sikha de
     pet ki bhookh ko bhi mita de
     jisme sach ki bhari chaandni ho
     jisme um'meed ki roshni ho
     jisme na ho kahani puraani


4.   kabhi aansoo kabhi khushi bechi
     hum gariboN ne bekasi bechi

     chaNd saanse khareedne ke liye
     roz thoDi si zindagi bechi

     jab rulaane lage muJhe saayee
     maiNe uqta ke roshni bechi

     ek hum the ke bik gaye khud hi
     warna duniya ne dosthi bechi
    

5.   apne chechre se jo zaahir hai chupaayeN kaise
     teri marzi ke mutaabik nazar aayeN kaise

     ghar sajaaNe ka tasawwur bahut baad ka hai
     pehle ye tay ho ke is ghar ko bachchayeN kaise

     kar kaha aankh ka bartaav badal deta hai
     hansNe waale tuJhe aaNsoo nazar aayeN kaise

     koi apnee hi nazar se to hume dekhega
     ek qatre ko samandar nazar aayeN kaise


6.   mujh mein jo kuch achchha hai sab uska hai.
     mera jitna charcha hai sab uska hai

     uska mera rishta baDa puraana hai
     maiNe jo kuch socha hai sab uska hai

     meree aankheN uski noor se roshan hai
     maiNe jo kuch dekha hai sab uska hai

     maiNe jo kuch khoya tha sab uska tha
     maiNe jo kuch paaya hai sab uska hai

     jitnee baar maiN TooTa hooN wo TooTa tha
     idhar udhar jo bikhRa hai sab uska hai
   

7.   wo rulakar hans na paya der taq
     jab maiN rokar mushkuraaya der taq

     bhoolna chaaha agar usko kabhi
     aur bhi wo yaad aaya der taq

     bhookhe bachchoN ki tasalli ke liye
     maa ne phir paani pakaya der taq

     gungunata jaa raha tha ik fakeer
     dhoop rehti hai na saaya der taq


8.   lab pe aati hai dua banke tamanna meri
     zindagi shamma ki surat ho khuda ya meri

     ho mere dum se yuN hi mere watan ki zeenat
     jis taraH phool se hoti hai chaman ki zeenat

     zindagi ho meri parwaane ki surat ya rab
     iLm ki shamma se ho muJhko mohabbat ya rab
    
     ho mera kaam gariboN ki himaayat karNa
     dard mando se zaeefoN se mohabbat karNa

     mere allaah buraayee se bachchana muJhko
     nek jo raah ho uss reh pe chalaana muJhko

No comments: