Thursday, February 11, 2010

Jaam Uthaa

Jaam Uthaa
Lyrics : tasneem faaruqi    (2)
             kaif bhupali       (3)
             aarzoo lakhnawi    (4)
             rakesh             (5)
             Bekhud Dehlvi      (6)              
             Rustam Sehgal wafa (7)
             sabab sikri        (8)
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh

1.   maan mausam ka kaha chaayi ghaTa jaam utha
     aag se aag buJha phool khila jaam utha

     yeh mere yaar tujhe uski kasam detha hoon
     bhool ja shikwa gila haath mila jaam utha

     ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyoN jaisa
     der kya karna yahaaN haath badHa jaam utha

     pyaar hi pyaar hai sab log baraabar hai yahan
     maikade mein koi choTa na bada jaam utha
  

2.   nazar nazar se milakaR sharaab peete haiN
     hum unko paas biThakar sharaab peete haiN

     isi liye to andhera hai maikade meiN bahut
     yahan gharoN ko jalaakar sharaab peete haiN

     hume tumhare siwa kuch nazar nahiN aata
     tumhe nazar meiN sazakar sharaab peete haiN

     unHi ke his'se meiN aati hai pyaas hi aksar
     jo doosroN ko pilaakar sharaab peete haiN


3.   Jhoom ke jab rindO ne pilaa dee
     sheikh ne chupke chupke dua dee

     ek kamee thee taj mahal meiN
     humne teri tasveer laga dee

     aapne jhooTa waada karke
     aaj hamaRi umr baDha dee

     teri galee meiN sazde karke
     humne ibaadat-gaah bana dee


4.   tere nisaar saqiya jitni piyoo pilaaye jaa
     mast nazar ka waasta mast muJhe banaaye jaa

     tuJhko kisi se marz kya bijli kahiN giraaye jaa
     dil jale ya zigar jale tu yun hi mushkuraaye jaa

     saamne mere aa ke dekh rookh se naqaab haTa ke dekh
     khilman-e-dil hai muntazir barKe nazar giraaye jaa
  
     wafa-e-badnaseeb ko baksha hai tune dard jo
     hai koi iski bhi dawa itna zara bataaye jaa

   
5.   ye peene waale bahut hi ajeeb hote haiN
     jahaN se door ye khud ke kareeb hote haiN

     kisi ko pyaar mile aur kisi ko ruswaayee
     mohabbatoN ke safar bhi ajeeb hote haiN

     mila kisi ko hai kya sochiye ameeree se
     diloN ke shaah to aksar gareeb hote haiN

     yahaN ke logoN ki hai khaasiyat ye sabse baDi
     habeeb lagte hain lekiN raqeeb hote haiN


6.   na keh saaqi bahaar aane ke din haiN
     zigar ke daaG chil jaane ke din haiN
 
     ada see khooB adaa aane ke din haiN
     abHi to door sharmaane ke din haiN

     garebaaN DhoonDte hain haath mere
     chaman meiN phool khil jaane ke din haiN

     tumhe raaz-e-mohabbat kya bataayeN
     tumhare khelne khaane ke din haiN

     ghaTaayeN oondi oondi keh rahi hai
     maye angoor khichwaane ke din haiN


7.   aap aaye janaab barsoN meiN
     humne pee hai sharaaB barsoN meiN

     phir se dil kee kali khilee apni
     phir se dekha sabaaB barsoN meiN

     tum kahaN the' kahaN rahe saahiB
     aaj hoga hisaaB barsoN meiN

     pehle naadaaN the' ab huye daaNa
     unko aaya adaaB barsoN meiN

     isi um'meed pe' maiN zinda hooN
     kya wo denge jawaaB barsoN meiN


8.   mere kareeb na aaO ke maiN sharaabi hooN
     mera shavoo na jagaaO ke maiN sharaabi hooN
  
     zamaaNe bhar ke nigaahoN se gir chuka hooN maiN
     nazar se tum na giraaO ke maiN sharaabi hooN

     ye aRz karta hooN gir kar khulush waaloN se
     uTha sakO to uthaaO ke maiN sharaabi hooN

     tumhari aaNkh se bhar looN suroor aaNkhoN meiN
     nazar nazar se milaaO ke maiN sharaab hooN

No comments: