Thursday, February 4, 2010

In Search

In Search
Lyrics : Qateel Shifai    (1)
             Rahat Indoree    (2)
             Liqayat Ali Azim (3)
             Wajida Tabassum  ( 4 & 5)
             Zaka Siddiqi     (6)
             Ayaz Jhansvi     (7)
             Nida Fazli       (8)
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh


1.   apne hoThoN par sajaana chaahta hooN
     aa tuJhe maiN gun-gunaana chaahta hooN

     koi aaNsoo tere daaman par girakar
     boond ko moti banaana chaahta hooN

     thak gaya maiN karte-karte yaad tuJhko
     ab tuJhe maiN yaad aana chaahta hooN

     chaa raha hai saari basti meiN andhera
     roshni ko ghar jalaana chaahta hooN

     aakhri hichki tere zaanO pe aaye
     maut ko bhi shaayarana chaahta hooN


2.   dosti jab kisi se kee jaaye
     dushmano ki bhi raaye lee jaaye

     maut ka zahar hai fizaoN meiN
     ab kahan ja kay saans lee jaaye

     bas isee soNch meiN hooN dooba hua
     ye nadi kaise paar kee jaaye

     mere maazi ke zakhm bharne lage
     aaj phir koi bhool kee jaaye

     botlayeN khol ke to pee barsoN
     aaj dil khol ke bhee pee jaaye


3.   kahiN aisa naa ho daaman jala lo
     hamaare aaNsooN par khaaK daalo

     manaana hee zaroori hai to fir tum
     hume sabse khafa hokar mana lo

     bahut royee huyee lagti haiN aaNkheN
     meri khaatir zara kaajal laga lo

     akelepan se khauF aata hai muJhko
     kahan ho ae mere khwab-o-khayaaloN

     bahut maayoos baitha hooN maiN tumse
     kabhi aakar muJhe haiRat meiN daalO


4.   yaa to miT jaa'iye ya miTa dijiye
     kijiye jab bhi sauda khaRa kijiye

     ab jafa kijiye ya wafa kijiye
     aakhri waqt hai bas dua kijiye

     apnee chehre se zulfeN haTa dijiye
     aur phir chaand ka saamna kijiye

     har taraf phool hi phool khil jaayenge
     aap aise hee haNste raha kijiye

     aapkee ye haNsi jaise ghoongru baje
     aur qayamat hai kya ye bata dijiye


5.   kaise kaise haadse sehte rahe
     Phir bhi hum jeete rahe haNste rahe

     uske aa jaane kee um'meedeN liye
     raasta muD muD ke hum takte rahe

     waqt to gujra magar kuch is tarah
     hum charaagoN kee tarah jalte rahe

     kitne chehre the humaare aas-paas
     tum hi tum dil meiN magar baste rahe

 
6.   khaamoshi khud apni sada ho aisa bhi ho sakta hai
     sannaTa hee goonJ raha ho aisa bhi ho sakta hai

     mera maaJi muJh se bichaD kar kya jaane kis haal meiN hai
     meri taraH wo bhi tanha ho aisa bhi ho sakta hai

     sehra sehra kab tak maiN DhoonDooN ulfat ka ek aalam
     aalam aalam ik sehraa ho  aisa bhi ho sakta hai

     aehle tooFaaN soNch rahe haiN saahil dooba jaata hai
     khud unka dil dooB raha ho  aisa bhi ho sakta hai


7.   bebasi Jurm hai hauslaa jurm hai
     zindagi teri ek-ek adaa Jurm hai

     ae sanam tere baare meiN kuch soNchkar
     apne baare meiN kuch sochna Jurm hai

     yaad rakhna tuJhe mera ek Jurm thaa
     bhool jaana tuJhe doosra Jurm hai

     kya sitam hai ke tere haseeN sehar meiN
     har taraf gaur se dekhnaa Jurm hai


8.   jab kisi se koi gila rakhnaa
     saamne apne aai'ina rakhna

     YuN ujaaloN se waasta rakhnaa
     shamma ke paas hi hawa rakhnaa

     ghar ki taameer chaahe jaisi ho
     ismeN rone ki jageH rakhnaa

     masJideN haiN namaaziYoN ke liye
     apne ghar meiN kahiN khuda rakhnaa

     milan-julna jahaN zaroori ho
     milne-julne ka hauslaa rakhnaa

No comments: