Thursday, February 11, 2010

Marasim

Marasim
Lyrics : Gulzar
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh

Memories woven in Melody

Marasim means relations.
My relations with Jagjit Singh go back to the days
when he composed music for my serial Mirza Ghalib.
The compositions came very easily to him.
I was so astonished at this spontaneity.

Jagjit is a master par excellence in
rendering of a ghazal.
Ghazal needs a special 'Mizaj' for its rendering and
an in-depth understanding of Urdu poetry.
It is during this period and later, that I shared
my poetry with him.

All that looks easy, is not so simple.
It took us more than six years to compile this album,
weaving memories in melody.
Marasim.
- Gulzar


1.  haath chooTen bhi tho rishthe nahin choDa karthe
    waqt ki shaak se lamhein nahin toDa karthe

    jiski aawaaz meiN silwat ho nigahoN meiN shikan
    aisi tasvir ke tukDe nahiN joda karthe

    shahad jeene ka mila karta hai thoDa thoDa
    jaane waaloN ke liye dil nahin thoDa karthe

    lagke saahil se jo beHta hai use beHne do
    aisi dariya ka kabhi rukh nahiN moDa karthe


2.  ek puraana mausam lauTa, yaad bhari purvayi bhi
    aisa to kam hi hotha hai, wo bhi ho tanhaayee bhi

    yaadon ki bauchaaroN se jab palke bheegne lagti hai
    kitni soundi lagthi hai tab maanjhi ki ruswaee bhi

    do do shakleN dikthi haiN is behke se aayine meiN
    mere saath chala aaya hai aapka ik saudayee bhi

    khamoshi ka haasil bhi ik lambi si kamoshi hai
    unki baath suni bhi humne, apni baat sunayi bhi.


3.  aankhon mein jal raha hai kyoon, bujtha nahin dhuaaN
    uThtha tho hai gata sa barastha nahiN dhuaaN

    choolha nahin jalaye ya basti hi jal gayi
    kuch roj ho gaye hain abh uThtha nahin dhuaaN

    aankhoN se ponchne se laga aanch ka patha
    yoon chehra pher lene se chuptha nahin dhuaaN

    aankhoN se aansoon ke marasim purane haiN
    mehmaan ye ghar meiN aayen tho chubtha nahin dhuaaN


4.  woh kaaTh ke purze uDa raha tha
    hawavon ka roop dikha raha tha

    kuch aur bhi ho gaya numaayaN
    main apna likha mita raha tha

    usi ka eemaan badal gaya hai
    kabhi jo mera khuda raha tha

    wo ek din ek ajnabi ko
    meri kahani suna raha tha

    wo umR kam kar raha tha meri
    maiN saal apne baDha raha tha


5.  shaam se aankh meiN namiN si hai
    aaj fir aapki kami si hai

    dafan kar do hameiN ki saans mile
    nabz kuch der se thami si hai

    waqt rehtha nahin kahin tik kar
    iski aadat bhi aadmi si hai

    koi rishtha nahin raha fir bhi
    ek tasleem laazmi si hai


6.  zindagi yoon huyi basar tanha
    kaafila saath aur safar tanha

    apne saaye se chaunk jaate haiN
    umR guzri hai is kadar tanha

    raat bar bolthe hain sannaaTe
    raat kaaTe koi kidhar tanha

    din guzartha nahin hai logon meiN
    raat hothi nahin basar tanha

    humne darwaaze tak tho dekha tha
    fir na jaane gaye kidhar tanha


7.  ek parvaaz dikhayee di hai
    teri aawaz sunayee de  hai

    jiski aankhon meiN kaTi thi sadiyaaN
    usne sadiyoN ki judayee di hai

    sirf ik safha palaT kar usne
    beeti baaton ki safaayee di hai

    fir wahiN lauTke jaana hoga
    yaar ne kaisi rihayee di hai

    aag ne kya kya jalayaa hai shavpar
    kitni khushrang dikhayee di hai


8.  din kuch aise guzaartha hai koi
    jaise ahamsa utaartha hai koi

    aayina dekhkar tasalli huyi
    humko is ghar main jaantha hai koi

    pak gaya hai shejar pe fal shaayad
    fir se patthar uchaaltha hai koi

    der se goonjthe hain sannaaTe
    jaise humko pukaartha hai koi

No comments: