Sunday, February 7, 2010

Come Alive Concert

Come Alive
Lyrics : Nida Fazli (1)
             Jigar Moradabadi(2)
             Sardar Anjum(3)
             Saeed Rahi (4,11)
             Sahir Hoshiyarpuri (5)
             Ameer Meenai (6)
             Inderjeet Hassanpuri(7,8)
             Sudarshan Faakir(9)
             Aatish (9)
             Iftikar Imam Siddiqi (10)
             Prem Warbartoni (12)
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh, Chitra Singh

Volume I

dostoN,

aap sab ko dekh kar mera kaleza duguna ho gaya hai. hamari bhi
ab yahi koshish hai ke is shaam ka aap poora poora maza lekar
ghar lauteN.

aaj ki shaam ki ibteda hum kar rahe hain ek ghazal se shayar hain
nida fazli,uske baad chand nayee ghazlen pesh karenge fir jaisi
jaisi aap ki farmaaish rahegi...hmmm.....


1. Duniya jisse kehte hain jaadu ka khilona hai
   Mil jaye to mitti hai, kho jaye to sona hai

   achchhaa saa koii mausam tanahaa saa koii aalam
   har vaqt aa ronaa to bekaar kaa ronaa hai

   barasaat kaa baadal to diivaanaa hai kyaa jaane
   kis raah se bachanaa hai kis chhat ko bhigonaa hai

   Gam ho ki Khushii donon kuchh der ke saathii hain
   phir rastaa hii rastaa hai haNsanaa hai na ronaa hai


2.   har soo dikhaayee dete hain wo jalwagar muJhe
     kya kya fareb deti hai meri nazar muJhe
                 
     dala hai bekhudi ne ajab raah par muJhe
     aaNkheN hai aur kuch nahiN aata nazar muJhe
                 
     dil leke muJhse dete ho daag-e-zigar muJhe
     ye baat bhoolne ki nahi umR bhar muJhe
                 
     aaya na raasna laaye dil ka asar muJhe
     ab tum mile to kuch nahin apni khbahar muJhe
                 

3.   jab kabhi tera naam lete haiN
     dil se hum intekaam lete haiN
                 
     meri barbaadiyoN ke afsaane
     mere yaaroN ke naam lete haiN
                 
     bas yahi ek zurM hai apna
     hum mohabbat se kaam lete haiN
                 
     har kadam par gire magar seekhaa
     kaise girtoN ko thaam lete haiN
                 
     ham bhaTak kar zunooN ki raahoN meiN
     aKl se intekaam lete haiN
                 

4.   tum naihin, gham nahin sharaab nahiN
     aisi tanhaayee ka jawaab nahiN

     gaahe gaahe ise paDha kije
     dil se behtar koi kitaab nahiN
                 
     jaane kis kis ki maut aayeee hai
     aaj ruKh pe koi naqaab nahiN
                 
     wo karam oongliyoN pe ginte haiN
     zulm ka jinke kuch hisaab nahiN
                 

5.   kaun kehta hai mohabbat ki zubaaN hoti hai
     ye hakikat to nigaahoN se bayaaN hoti hai
                 
     wo naa aaye to sataati hai khalish si dil ko
     wo jo aaye to khalish aur jawaan hoti hai
                 
     rooh ko shaad kare dil ko jo purnoor kare
     har nazaare ki ye tanweer kahaN hoti hai
                 
     zabt-e-sailaab-e-mohaabt ko kahan tak roke
     dil meiN baat ho aankhoN se ayaaN hoti hai
                 
     zindagi ek sulagti si chitaa hai 'saahir'
     shola banti hai na ye buJh ke dhuwaN hoti hai             


6.   sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista
     nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista

     jawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda
     hayaa yakalaKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista
  
     sawal-e-vasl pe unko uduu ka khauf hai itna
     dabe hoToN se dete haiN jawab aahistaa-aahista

     hamaare aur tumhaare pyaar meiN bas farq hai itna
     idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa-aahista

     baDi bedardi se sar kaate 'ameer' aur maiN kahooN unse
     huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista

     sab-e-furkat ka jaaga hoon faristhoN ab to sone do
     kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista
                 

Volume II

7.   dhai din na jawaani naal chaldi (punjabi)


8.   charka mera rangla (punjabi)


9.   ishq mein ghairat-e-jazbaat ne rone na diya
     warna kyaa baat thi kis baat ne rone na diya

     yaar ko maine ne mujhe yaar ne sone na diya
     raat bhar taal-e-deedar ne sone na diya

     aap kehte the ke rone se na badlenge naseeb
     uMr bhar aapki is baat ne rone na diya

     ek shab bulbul-e-betaab ke jaage na naseeb
     pehlu-e-gul ne kabhi khaaR ne sone na diya

     unse milkar hameN rona thaa bahut rona thaa
     tang ye waqt-e-mulaakat ne rone na diya

     raat bhar ki hile betaab ne baateN muJhse
     ranz-o-mehnat ki giraftaar ne sone na diya

     rone waaloN se kaho unka bhee rona roleN
     jinko majboor ye haalaat ne rone na diya


10.  woh nahin milta muJhe iska giLa apni jagah
     uske mere darmiyaan ka faasla apni jagah

     zindagi ke is safar meiN saikDon chehre mile
     dilkashi unki alag hai paitar tera apni jagah

     tuJh se milkar aane waale kal se nafrat moLli
     ab kabhi tuJhse na bichdooN ye dua apni jagah

     ik musarsar daud mein hai manzileN aur faasle
     paaOn to apni jagah hai raasta apni jagah
    

11.  koi paas aaya sawere sawere
     muJhe aajmaaya sawere sawere

     meri daastaaN ko zara sa badal kar
     muJhe hi sunaaya sawere sawere

     jo kehta thaa kal shab sambhalna sambhalna
     wahi lad-khadaaya sawere sawere

     kati raat saari meri maikade meiN
     khuda yaad aaya sawere sawere


12.  meri tanhaiyoN tum hi laga lo muJhko seene se
     ke maiN ghabraa gaya hooN is tarah ro ro ke jeene se

     ye aadhi raat ko fir choodiyaan si kya khanakti hai
     koi aata hai ya meri hi zanzeereN chanakthi hai
     ye baaten kis tarah poochooN main saawan ke mahine se
     ke maiN ghabraa gaya hooN is tarah ro ro ke jeene se

     peene do muJhe apne hi lahoo ka jaam peene do
     na seene do kisi ko bhi mera daaman na seene do
     meri wehshat na badh jaaye kahin daaman ke seene se    
     ke maiN ghabraa gaya hooN is tarah ro ro ke jeene se

No comments: