Thursday, February 11, 2010

Saher

Saher
Lyrics :  Meraz                       (1)
             Dr. Bashir Badr        (2)
             Iqbaal Azim              (3)
             Rahat Indori             (4)
             Rajesh Reddy            (5)
             Nazir Bakri               (6)
             Faiz Ratlami             (7)
             Dr. Nawaz Dewbandi (8)
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh


1.   tere baare meiN jab socha nahiN thaa
     maiN tanha tha magar itna nahiN thaa

     teri tasveer se karta thaa baateN
     mere kamer meiN aayina nahiN thaa

     samandar ne muJhe pyaasa hi rakha
     maiN jab sahra meiN thaa pyaasa nahiN thaa

     manaane ruThne ke khel meiN hum
     bichaD jaayenge ye socha nahiN thaa

     suna hai band kar li aaNkheN usne
     kai raatoN se wo soya nahiN thaa



2.   muJhse bichaD ke khush rehte ho
     meri tarah tum bhi jhooTe ho

     ik tahni par chaaNd Tika thaa
     maiN ye samJha tum baithe ho

     uJle uJle phool khile the
     bilkul jaise tum haNste ho

     muJhe shaam bata deti hai
     tum kaise kapDe pehne ho

     tumh tanha duniya se laDoge
     bachhON si baateN karte ho



3.   tumne dil ki baat kehdi aaj ye achha hua
     hum tumhe apna samajhte the, bada dhoKha hua

     jab bhi humne kuch kaha uska asar ulTa hua
     aap shaayad bhoolte haiN, baaraha aisa hua

     aapki aaNkhoN meiN aaNsoo kahan se aa gaye
     hum to deewaane haiN lekin aapko ye kya hua

     ab kisi se kya kaheN 'Iqbaal' apni daastaaN
     bas khuda ka shuKr hai jo bhi hua achha hua


4.   kitni pi kaise kati raat muJhe hosH nahiN
     raat ke saath gayi baat muJhe hosH nahiN

     muJhko ye bhi nahin malooom ki jana hai kahan
     thaam le koi mera haath muJhe hosh nahin

     aaNsooN aur sharaaB mein guzar hai ab to
     maine kab dekhi thi barsaat muJhe hosN nahiN

     jaane kyaa tooTa hai paimaana ki dil hai mera
     bikhre bikhre haiN khayalaat muJhe hosH nahiN


5.   ye jo zindagi ki kitaab hai ye kitaab bhi kya kitaab hai
     kahiN ik haseen sa khwaab hai kahin jaan lewa ajaab hai

     kahin chaaOn hai kahin dhoop hai, kahin aur hi koi roop hai
     kai chechre isme chupe huye, ik ajeeb si ye naqaab hai
   
     kahin kho diya kahin paa liya kahin ro liya kahin gaa liya
     kahin cheen leti hai har khushi kahin meharbaaN behisaab hai


     kahin aaNsoOn iki hai daastaaN kahin muskurahaToN ka bayaaN
     kahin kbarkatoN ki hai baarisheN kahin tishnagi behisaab hai



6.   yaad nahin kya kya dekha tha saare maNzar bhool gaye
     uski galiyaaN se jab lauTe apna bhi ghar bhool gaye

     khoob gaye pardesh ki apni deewaar-o-dar bhool gaye
     seesh-mahel ne aisa ghera miTTi ka ghar bhool gaye

     tuJhko bhi jab apni kasmeiN apne waayede yaad nahiN
     hum bhi apne khwaab teri aankhoN meiN rakhkar bhool gaye

     muJhko jinhone  kaTl kiya hai koi unhe batlaaye 'nazir'
     meri laash ke pehloo meiN wo apna khanzar bhool gaye


7.   charaag-e-ishq jalaane ki raat aayi hai
     kisi ko apna banaane ki raat aayi hai

     falaK ka chaaNd bhi sharmaake mooNh chupaayega
     naqaab ruKh se uThaane ki raat aayi hai

     nigaahe saaqi se paiham chalaK rahi hai sharaab
     piyO ke peene pilaane ki raat aayi hai

     wo aaj aaye haiN mehfil meiN chaandni lekar
     ke roshni meiN nahaane ki raat aayi hai



8.   tere aane ki jab khabar mehke
     teri khushboo se saara ghar mehke

     shaam mehke tere tasavvur se
     shaam ke baad fir saHer mehke

     raat bhar sochta raha tuJhko
     zehno-dil mere raat bhar mehke

     yaad aaye to dil munnawar ho
     deed ho jaaye to nazar mehke

     wo ghaDi do ghaDi jahaan baithe
     wo zamiN mehke wo saher mehke

No comments: