Sunday, February 7, 2010

Face to Face

Face to Face
Lyrics : Saabir Dutt            (1)
             Khamosh Ghazipuri      (2)
             Shaahid Kabir          (3)
             Rajesh Reddy           (4)
             Daag and Ameer Minayee (5)
             Hasti                  (6)
             Zaka Siddhiki          (7)
             Sudarshan Faakir       (8)
Music  : Jagjit Singh
Voices : Jagjit Singh

1.   sachchi baat kahi thee maiNe
     logoN ne sooli pe chaDhaya
     muJhko zehaR ka jaaM pilaaya
     phir bHi unko cha'in na aaya
     sachchi baat kahi thee maiNe
  
     leke jahaN bhi waqt gaya hai
     zulM mila hai zulm saha hai
     sach ka Ye Inaam mila hai
     sachchi baat kahi thee maiNe

     sab se behtaR kabhi na ban'na
     jag ke rehBar kabhi na ban'na
     peer pa'yambar kabhi na ban'na
     sachchi baat kahi thee maiNe

     chup rehkar hi waqt guzaarO
     sach kehne pe jaaN math waaro
     kuch to seekho muJh se Yaaro
     sachchi baat kahi thee maiNe


2.   dairO haram meiN basNe waaLe
     mai-KhaNo meiN phooT na Daalo

     ThoofaaN se hum TaKraaYenge
     tum apNi kashthi ko samBhalO

     maiKhana meiN aaYe waaee'z
     inko bhi insaaN bana Lo

     aariz-oN-laB saada rehne do
     taj Mahal pe rang na daalo


3.   besabab baat baDhaaNe ki zaroorat kya hai
     hum khaFa kab the maNaane ki zaroorat kya hai
   
     aapKe dum se to duniYa ka bhaRam hai kaaYam
     aap jab haiN to zamaaNe ki zaroorat kya hai

     tera kucha, tera dar, teri gali kaafi hai
     be-ThikanO ko Thikane ki zaroorat kya hai

     dil se miLne ki tamanna hi nahiN jab dil meiN
     haath se haath milaaNe ki zaroorat kya hai

     ranG aankhoN ke liye boo hai damaagoN ke liye
     phool ko haaTh lagaane ki zaroorat kya hai


4.   zindagGi tune lahoo leke diYa kuch bhi nahiN
     tere daamaN meiN mere waaste kYa kuch bhi nahiN

     mere in haathoN ki chaaho to talaashi le lO
     mere haathoN meiN lakiroN ke siwa kuch bhi nahiN

     humNe dekha hai kai aise khudaOn ko yahaN
     saamNe jinke wo sach much ka khuda kuch bhi nahiN

     Yaa khuda ab ke ye kis ranG se aaYi hai bahaaR
     zarD hi zarD hai peDoN pe hara kuch bhi nahiN

     dil bhi ik zid pe aDa hai kisi bachche ki taraH
     ya to sab kuch hi ise chaachiYe ya kuch bhi nahiN


5.   tumNe badle humSe gin-gin ke liye
     humNe kya chaaha tha is din ke liye

     waSl ka din aur itna mukhTasar
     din giNe jaate the is din ke liYe

     wo nahiN sunte hamari kYa kareN
     maanGte haiN hum dua jinke liYe

     chaahNe waalO se gar matlab nahiN
     aap phir paida hua kinke liYe

     baarabaaN kaliYan ho halqe ranG ki
     bheJnee hai ek kamsin ke liYe


6.   pyaaR ka pehla khat liKhne meiN waqt to lagta hai
     naYe pariNdo ko uD'dne meiN waqt to lagta hai

     jiSm kee baat nahiN thi unKe dil taq jaana tha
     lambi doori tay kaRne meiN waqt to lagta hai

     gaanTh agar pad jaaye to phir rishte ho ya Dori
     laakh kareN koshish khulne meiN waqt to lagta hai

     humNe ilaaze zakhme dil to DhoonD liya lekin
     gehRe zakhmoN ko bharNe meiN waqt to lagta hai
    

7.   jeete rehNe ki saza de, zindaGi ae zindaGi
     ab to maRne ki dua de zindaGi ae zindaGi
 
     maiN to ab uqta gaya hoon kya yahi hai qaayanaat
     bas Ye aa'ieena haTa de zindaGi ae zindaGi

     DhoonDne niklaa Tha tuJhko aur khud ko kho diYa
     tu hi ab mera pata de zindaGi ae zindaGi

     Yaa muJhe ehsaas ki ees qaid se kar de riHaa
     waRna deewana banaade zindaGi ae zindaGi


8.   sheiKhji thoDi see peeKar aa'iye
     mai hai kYa shai pHir hume batlaa'iYee
 
     aap kYoon haiN saari duniya se khaFa
     aap bHi dusHman mere ban jaa'iye

     kYa hai achcha, kya buRa banda-nawaaZ
     aap samJheN to hume samJhaa'iYe
 
     jaaNe diJe akL ki baateN janaaB
     dil ki suniYe aur peete jaa'iYe

No comments: