Thursday, February 11, 2010

A Journey

 A Journey
 Lyrics - Danish Aligarhi     (1)
                Javed Akhtar          (2)
                Sudarshan Faakir (3) 
                Muzaffar Warsi       (4)
               Josh Malihabadi     (5)
 

1.   tuJhse milne ki saza denge tere shehar ke log
     ye wafaoN ka sila denge tere shehar ke log

     kya khabar thee tere milne pe qayamat hogi
     muJhko deewaana bana denge tere shehar ke log

     teri nazaroN se giraane ke liye jaane-haya
     muJhko mujrim bhi bana denge tere shehar ke log

     kehke deewana muJhe maar rahe haiN patthar
     aur kya iske siwa denge tere shehar ke log
2.  pyar mujh se jo kiyaa tumne to kya paaogi
    mere haalaat ki aandhi mein bikhar jaaogi

    ranj aur dard ki basthi ka main baashinda hoon
    ye to bas main hoon ke is haal mein bhi zinda hoon
 
    khwaab kyoon dekhoon wo kal jispe main sahrminda hoon
    mainjo sharminda hoon to aur tum bhi sharmaaogi

    kyoon mere saath koi aur pareshaan rahe
    meri duniya hai jo weeraan to weeraan rahe
 
    zindagi ka ye safar tum pe to aasaan rahe
    humsafar mujhko banaaogi to pachtaaogi

    ek main kya abhi aayenge diwaane kitne
    abhi goonjenge mohabbat ke taraane kitne
 
    zindagi tumko sunaaegi fasaane kitne
    kyoon samajhti ho mujhe bhool nahi paaogi

3. Patthar ke Khudaa patthar ke sanam 
    patthar ke hii insaaN paaye haiN
    tum shahar-e-mohabbat kahate ho 
    ham jaan bachchaakar aaye haiN

    but-Khaanaa samajhate ho jisako 
    puuchcho na vahaaN kyaa haalat hai
    ham log vahiiN se lauTe haiN 
    bas shukr karo lauT aaye haiN

    ham soch rahe haiN muddat se 
    ab umr guzaareN bhii to kahaaN
    seharaa meN Khushii ke phuul nahiiN 
   shaharoN meN Gamon ke saaye haiN

   hoToN pe tabassum halqaa saa 
   aa.NkhoN meN namii sii hai 'Faaqir'
   ham ahl-e-mohabbat par aksar 
   aise bhii zamaane aaye haiN 
 
4. merii zindagii kisii aur kii, mere naam kaa koii aur hai
   mera aks hai sareaaiinaa, pase aaiinaa koii aur hai

   merii dhaDakanon men hai chaap sii, ye judaaii bhii hai milaap sii
   mujhe kyaa pataa, mere dil bataa, mere saath kyaa koii aur hai

   na gaye dinon ko Khabar merii, na shariikehaal nazar terii
   tere des men, mere bhes men, koii aur thaa koii aur hai

   vo merii taraf nigaraaN rahe, meraa dhyaan jaane kahaaN rahe
   merii aaNkh men kaii suuraten, mujhe chaahataa koii aur hai

5. kis ko aati hai masihaayee kise aawaaz dooN
    bol ae’ khooNkhaar tanhaayee kise aawaaz dooN


   chup rahooN to har nafaS Dasta hai naaGaN ki taraH
   aaH bharNe meiN hai ruswaayee kise awaaz dooN
  
   oof khamoshi ki ye aaheN dil ko barmaati huyee
   oof ye sannaaTe ki shehnaayee kise awaaz dooN

6. kal chaudhwee ki raat thi shabbhar raha charcha tera
    kuch ne kha ye chand hai kuch ne kha chehra tera

7.


No comments: